اک ہنر تھا کمال تھا کیا تھا
اک ہنر تھا کمال تھا کیا تھا مجھ میں تیرا جمال تھا کیا تھا تیرے جانے پہ اب کے کچھ نہ کہا دل میں ڈر تھا ملال تھا کیا تھا برق نے مجھ کو کر دیا روشن تیرا عکس جلال تھا کیا تھا ہم تک آیا تو بہر لطف و کرم تیرا وقت زوال تھا کیا تھا جس نے تہہ سے مجھے اچھال دیا ڈوبنے کا خیال تھا کیا تھا جس پہ دل سارے عہد بھول گیا بھولنے کا سوال تھا کیا تھا تتلیاں تھے ہم اور قضا کے پاس سرخ پھولوں کا جال تھا کیا تھا
English rendering
Ek hunar thā kamāl thā kyā thā Mujh maiñ terā jamāl thā kyā thā Tere jāne pe ab ke kuchh na kahā Dil maiñ ḍar thā malāl thā kyā thā Barq ne mujh ko kar diyā roshan Terā aks-e-jalāl thā kyā thā Ham tak āyā toh bahar-e-lutf-o-karam Terā vaqt-e-zavāl thā kyā thā Jis ne teh se mujhe uchhāl diyā Ḍūbne kā ḳhayāl thā kyā thā Jis pe dil sāre ahd bhūl gayā Bhūlne kā savāl thā kyā thā Titliyāñ the ham aur qazā ke pās Surkh phūloñ kā jāl thā kyā thā