گواہی کیسے ٹوٹتی معاملہ خدا کا تھا
گواہی کیسے ٹوٹتی معاملہ خدا کا تھا مرا اور اس کا رابطہ تو ہاتھ اور دعا کا تھا گلاب قیمت شگفت شام تک چکا سکے ادا وہ دھوپ کو ہوا جو قرض بھی صبا کا تھا بکھر گیا ہے پھول تو ہمیں سے پوچھ گچھ ہوئی حساب باغباں سے ہے کیا دھرا ہوا کا تھا لہو چشیدہ ہاتھ اس نے چوم کر دکھا دیا جزا وہاں ملی جہاں کہ مرحلہ سزا کا تھا جو بارشوں سے قبل اپنا رزق گھر میں بھر چکا وہ شہر مور سے نہ تھا پہ دوربیں بلا کا تھا
English rendering
Gavāhī kaise ṭūṭtī mu'āmala ḳhudā kā thā Mirā aur us kā rābta toh haath aur du'ā kā thā Gulāb qeemat-e-shaguft shām tak chukā sake Adā voh dhūp ko huā jo qarza bhī sabā kā thā Bikhar gayā hai phūl toh hameñ se pūchh-gachh huī Hisāb bāghbāñ se hai kyā dharā huā kā thā Lahu-chasheeda haath us ne chūm kar dikhā diyā Jazā vahāñ milī jahāñ ke marhala sazā kā thā Jo bārishoñ se qabl apnā rizq ghar maiñ bhar chukā Voh shehar-e-mor se na thā pe doorbīñ balā kā thā