گلاب ہاتھ میں ہو آنکھ میں ستارہ ہو
گلاب ہاتھ میں ہو آنکھ میں ستارہ ہو کوئی وجود محبت کا استعارہ ہو میں گہرے پانی کی اس رو کے ساتھ بہتی رہوں جزیرہ ہو کہ مقابل کوئی کنارہ ہو کبھی کبھار اسے دیکھ لیں کہیں مل لیں یہ کب کہا تھا کہ وہ خوش بدن ہمارا ہو قصور ہو تو ہمارے حساب میں لکھ جائے محبتوں میں جو احسان ہو تمہارا ہو یہ اتنی رات گئے کون دستکیں دے گا کہیں ہوا کا ہی اس نے نہ روپ دھارا ہو افق تو کیا ہے در کہکشاں بھی چھو آئیں مسافروں کو اگر چاند کا اشارا ہو میں اپنے حصے کے سکھ جس کے نام کر ڈالوں کوئی تو ہو جو مجھے اس طرح کا پیارا ہو اگر وجود میں آہنگ ہے تو وصل بھی ہے وہ چاہے نظم کا ٹکڑا کہ نثر پارہ ہو
English rendering
Gulāb haath maiñ ho āñkh maiñ sitāra ho Koī wujūd-e-mohabbat kā isti'āra ho Maiñ gehre pānī kī us rau ke sāth bahtī rahūñ Jazeerā ho ke muqābil koī kināra ho Kabhī kabhār use dekh leñ kahīñ mil leñ Yeh kab kahā thā ke voh khush-badan hamārā ho Qusoor ho toh hamāre hisāb maiñ likh jāe Mohabbatoñ maiñ jo ehsān ho tumhārā ho Yeh itnī rāt ga'e kaun dastakeñ de gā Kahīñ havā kā hī us ne na roop dhārā ho Ufaq toh kyā hai dar-e-kahkashāñ bhī chhū āeñ Musāfiroñ ko agar chāñd kā ishāra ho Maiñ apne hisse ke sukh jis ke nām kar ḍālūñ Koī toh ho jo mujhe is tarah kā pyārā ho Agar wujūd maiñ āhañg hai toh vasl bhī hai Voh chāhe nazm kā ṭukṛā ke nasr pāra ho