ہم نے ہی لوٹنے کا ارادہ نہیں کیا
ہم نے ہی لوٹنے کا ارادہ نہیں کیا اس نے بھی بھول جانے کا وعدہ نہیں کیا دکھ اوڑھتے نہیں کبھی جشن طرب میں ہم ملبوس دل کو تن کا لبادہ نہیں کیا جو غم ملا ہے بوجھ اٹھایا ہے اس کا خود سر زیر بار ساغر و بادہ نہیں کیا کار جہاں ہمیں بھی بہت تھے سفر کی شام اس نے بھی التفات زیادہ نہیں کیا آمد پہ تیری عطر و چراغ و سبو نہ ہوں اتنا بھی بود و باش کو سادہ نہیں کیا
English rendering
Ham ne hī lauṭne kā irāda nahīñ kiyā Us ne bhī bhūl jāne kā va'da nahīñ kiyā Dukh oṛhte nahīñ kabhī jashn-e-tarab maiñ ham Malbūs-e-dil ko tan kā libāda nahīñ kiyā Jo gham milā hai bojh uṭhāyā hai us kā ḳhud Sar zer-e-bār-e-sāghar-o-bāda nahīñ kiyā Kār-e-jahāñ hameñ bhī bahut the safar kī shām Us ne bhī iltifāt ziyāda nahīñ kiyā Āmad pe terī itr-o-chirāgh-o-sabū na hoñ Itnā bhī bood-o-bāsh ko sāda nahīñ kiyā