پروین شاکر

پروین شاکر

شاعر — Parveen Shakir

تعارف شاعری

حرف تازہ نئی خوشبو میں لکھا چاہتا ہے

حرف تازہ نئی خوشبو میں لکھا چاہتا ہے باب اک اور محبت کا کھلا چاہتا ہے ایک لمحے کی توجہ نہیں حاصل اس کی اور یہ دل کہ اسے حد سے سوا چاہتا ہے اک حجاب تہہ اقرار ہے مانع ورنہ گل کو معلوم ہے کیا دست صبا چاہتا ہے ریت ہی ریت ہے اس دل میں مسافر میرے اور یہ صحرا ترا نقش کف پا چاہتا ہے یہی خاموشی کئی رنگ میں ظاہر ہوگی اور کچھ روز کہ وہ شوخ کھلا چاہتا ہے رات کو مان لیا دل نے مقدر لیکن رات کے ہاتھ پہ اب کوئی دیا چاہتا ہے تیرے پیمانے میں گردش نہیں باقی ساقی اور تری بزم سے اب کوئی اٹھا چاہتا ہے

— پروین شاکر

English rendering

Harf-e-tāza naī khushboo maiñ likhā chāhtā hai Bāb ek aur mohabbat kā khulā chāhtā hai Ek lamhe kī tavajjuh nahīñ hāsil us kī Aur yeh dil ke use had se sivā chāhtā hai Ek hijāb-e-teh-e-iqrār hai māni' varna Gul ko ma'lūm hai kyā dast-e-sabā chāhtā hai Ret hī ret hai is dil maiñ musāfir mere Aur yeh sahrā terā naqsh-e-kaf-e-pā chāhtā hai Yeh hī khāmoshī kaī rañg maiñ zāhir hogī Aur kuchh roz ke voh shoḳh khulā chāhtā hai Rāt ko mān liyā dil ne muqaddar lekin Rāt ke haath pe ab koī diyā chāhtā hai Tere paimāne maiñ gardish nahīñ bāqī sāqī Aur terī bazm se ab koī uṭhā chāhtā hai

‹ کلام کی فہرست پر واپس