کھلی آنکھوں میں سپنا جھانکتا ہے
کھلی آنکھوں میں سپنا جھانکتا ہے وہ سویا ہے کہ کچھ کچھ جاگتا ہے تری چاہت کے بھیگے جنگلوں میں مرا تن مور بن کر ناچتا ہے مجھے ہر کیفیت میں کیوں نہ سمجھے وہ میرے سب حوالے جانتا ہے میں اس کی دسترس میں ہوں مگر وہ مجھے میری رضا سے مانگتا ہے کسی کے دھیان میں ڈوبا ہوا دل بہانے سے مجھے بھی ٹالتا ہے سڑک کو چھوڑ کر چلنا پڑے گا کہ میرے گھر کا کچا راستہ ہے
English rendering
Khulī āñkhoñ maiñ sapnā jhānktā hai Voh soyā hai ke kuchh kuchh jāgtā hai Terī chāhat ke bhīge jangaloñ maiñ Mirā tan mor ban kar nāchtā hai Mujhe har kaifiyat maiñ kyoñ na samjhe Voh mere sab havāle jāntā hai Maiñ us kī dastaras maiñ hūñ magar voh Mujhe merī razā se māñgtā hai Kisī ke dhyān maiñ ḍūbā huā dil Bahāne se mujhe bhī ṭāltā hai Saṛak ko chhoṛ kar chalnā paṛe gā Ke mere ghar kā kachchā rāsta hai