کچھ تو ہوا بھی سرد تھی کچھ تھا ترا خیال بھی
کچھ تو ہوا بھی سرد تھی کچھ تھا ترا خیال بھی دل کو خوشی کے ساتھ ساتھ ہوتا رہا ملال بھی بات وہ آدھی رات کی رات وہ پورے چاند کی چاند بھی عین چیت کا اس پہ ترا جمال بھی سب سے نظر بچا کے وہ مجھ کو کچھ ایسے دیکھتا ایک دفعہ تو رک گئی گردش ماہ و سال بھی دل تو چمک سکے گا کیا پھر بھی تراش کے دیکھ لیں شیشہ گران شہر کے ہاتھ کا یہ کمال بھی اس کو نہ پا سکے تھے جب دل کا عجیب حال تھا اب جو پلٹ کے دیکھیے بات تھی کچھ محال بھی میری طلب تھا ایک شخص وہ جو نہیں ملا تو پھر ہاتھ دعا سے یوں گرا بھول گیا سوال بھی اس کی سخن طرازیاں میرے لیے بھی ڈھال تھیں اس کی ہنسی میں چھپ گیا اپنے غموں کا حال بھی گاہ قریب شاہ رگ گاہ بعید وہم و خواب اس کی رفاقتوں میں رات ہجر بھی تھا وصال بھی اس کے ہی بازوؤں میں اور اس کو ہی سوچتے رہے جسم کی خواہشوں پہ تھے روح کے اور جال بھی شام کی نا سمجھ ہوا پوچھ رہی ہے اک پتا موج ہوائے کوئے یار کچھ تو مرا خیال بھی
English rendering
Kuchh toh havā bhī sard thī kuchh thā terā ḳhayāl bhī Dil ko khushī ke sāth sāth hotā rahā malāl bhī Bāt voh ādhī rāt kī rāt voh poore chāñd kī Chāñd bhī ain Chait kā us pe terā jamāl bhī Sab se nazar bachā ke voh mujh ko kuchh aise dekhtā Ek dafa toh ruk gaī gardish-e-māh-o-sāl bhī Dil toh chamak sake gā kyā phir bhī tarāsh ke dekh leñ Shīsha-garāñ shehar ke haath kā yeh kamāl bhī Us ko na pā sake the jab dil kā ajeeb hāl thā Ab jo palaṭ ke dekhiye bāt thī kuchh muhāl bhī Merī talab thā ek shaḳhs voh jo nahīñ milā toh phir Haath du'ā se yūñ girā bhūl gayā savāl bhī Us kī suḳhan-tarāziyāñ mere liye bhī ḍhāl thīñ Us kī hansī maiñ chhup gayā apne ghamoñ kā hāl bhī Gāh qareeb-e-shāh-rag gāh ba'eed-e-vahm-o-ḳhvāb Us kī rafāqatoñ maiñ rāt-e-hijr bhī thā visāl bhī Us ke hī bāzu'oñ maiñ aur us ko hī sochte rahe Jism kī ḳhvāhishoñ pe the rūh ke aur jāl bhī Shām kī nā-samajh havā pūchh rahī hai ek patā Mauj-e-havā-e-kū-e-yār kuchh toh mirā ḳhayāl bhī