کیا کرے میری مسیحائی بھی کرنے والا
کیا کرے میری مسیحائی بھی کرنے والا زخم ہی یہ مجھے لگتا نہیں بھرنے والا زندگی سے کسی سمجھوتے کے با وصف اب تک یاد آتا ہے کوئی مارنے مرنے والا اس کو بھی ہم ترے کوچے میں گزار آئے ہیں زندگی میں وہ جو لمحہ تھا سنورنے والا اس کا انداز سخن سب سے جدا تھا شاید بات لگتی ہوئی لہجہ وہ مکرنے والا شام ہونے کو ہے اور آنکھ میں اک خواب نہیں کوئی اس گھر میں نہیں روشنی کرنے والا دسترس میں ہیں عناصر کے ارادے کس کے سو بکھر کے ہی رہا کوئی بکھرنے والا اسی امید پہ ہر شام بجھائے ہیں چراغ ایک تارا ہے سر بام ابھرنے والا
English rendering
Kyā kare merī maseehāī bhī karne vālā Zaḳhm hī yeh mujhe lagtā nahīñ bharne vālā Zindagī se kisī samjhote ke bā-vasf ab tak Yād ātā hai koī mārne marne vālā Us ko bhī ham tere kūche maiñ guzār aaye haiñ Zindagī maiñ voh jo lamha thā sanvarne vālā Us kā andāz-e-suḳhan sab se judā thā shāyad Bāt lagtī huī lahja voh mukarne vālā Shām hone ko hai aur āñkh maiñ ek khvāb nahīñ Koī is ghar maiñ nahīñ roshanī karne vālā Dastaras maiñ haiñ anāsir ke irāde kis ke So bikhar ke hī rahā koī bikharne vālā Isī ummeed pe har shām bujhāe haiñ chirāgh Ek tārā hai sar-e-bām ubharne vālā