کو بہ کو پھیل گئی بات شناسائی کی
کو بہ کو پھیل گئی بات شناسائی کی اس نے خوشبو کی طرح میری پذیرائی کی کیسے کہہ دوں کہ مجھے چھوڑ دیا ہے اس نے بات تو سچ ہے مگر بات ہے رسوائی کی وہ کہیں بھی گیا لوٹا تو مرے پاس آیا بس یہی بات ہے اچھی مرے ہرجائی کی تیرا پہلو ترے دل کی طرح آباد رہے تجھ پہ گزرے نہ قیامت شب تنہائی کی اس نے جلتی ہوئی پیشانی پہ جب ہاتھ رکھا روح تک آ گئی تاثیر مسیحائی کی اب بھی برسات کی راتوں میں بدن ٹوٹتا ہے جاگ اٹھتی ہیں عجب خواہشیں انگڑائی کی
English rendering
Kū ba kū phail gaī bāt shanāsāī kī Us ne khushboo kī tarah merī pazīrāī kī Kaise keh dūñ ke mujhe chhoṛ diyā hai us ne Bāt toh sach hai magar bāt hai rusvāī kī Voh kahīñ bhī gayā lauṭā toh mere pās āyā Bas yeh hī bāt hai achchhī mere harjāī kī Terā pahlu tere dil kī tarah ābād rahe Tujh pe guzre na qayāmat shab-e-tanhāī kī Us ne jaltī huī peshānī pe jab haath rakhā Rūh tak aa gaī tāseer-e-maseehāī kī Ab bhī barsāt kī rātoñ maiñ badan ṭūṭtā hai Jāg uṭhtī haiñ ajab ḳhvāhisheñ angṛāī kī