مشکل ہے کہ اب شہر میں نکلے کوئی گھر سے
مشکل ہے کہ اب شہر میں نکلے کوئی گھر سے دستار پہ بات آ گئی ہوتی ہوئی سر سے برسا بھی تو کس دشت کے بے فیض بدن پر اک عمر مرے کھیت تھے جس ابر کو ترسے کل رات جو ایندھن کے لیے کٹ کے گرا ہے چڑیوں کو بڑا پیار تھا اس بوڑھے شجر سے محنت مری آندھی سے تو منسوب نہیں تھی رہنا تھا کوئی ربط شجر کا بھی ثمر سے خود اپنے سے ملنے کا تو یارا نہ تھا مجھ میں میں بھیڑ میں گم ہو گئی تنہائی کے ڈر سے بے نام مسافت ہی مقدر ہے تو کیا غم منزل کا تعین کبھی ہوتا ہے سفر سے پتھرایا ہے دل یوں کہ کوئی اسم پڑھا جائے یہ شہر نکلتا نہیں جادو کے اثر سے نکلے ہیں تو رستے میں کہیں شام بھی ہوگی سورج بھی مگر آئے گا اس رہ گزر سے
English rendering
Mushkil hai ke ab shehar maiñ nikle koī ghar se Dastār pe bāt aa gaī hotī huī sar se Barsā bhī toh kis dasht ke be-faiz badan par Ek umr mere khet the jis abr ko tarse Kal rāt jo eñdhan ke liye kaṭ ke girā hai Chiṛiyoñ ko baṛā pyār thā us būṛhe shajar se Mehnat merī āñdhī se toh mansūb nahīñ thī Rehna thā koī rabt shajar kā bhī samar se Khud apne se milne kā toh yārā na thā mujh maiñ Maiñ bhīṛ maiñ gum ho gaī tanhāī ke ḍar se Be-nām musāfat hī muqaddar hai toh kyā gham Manzil kā ta'ayyun kabhī hotā hai safar se Pattharāyā hai dil yūñ ke koī ism paṛhā jāe Yeh shehar nikaltā nahīñ jādū ke asar se Nikle haiñ toh raste maiñ kahīñ shām bhī hogī Sūraj bhī magar āe gā us rah-guzar se