پروین شاکر

پروین شاکر

شاعر — Parveen Shakir

تعارف شاعری

تخت ہے اور کہانی ہے وہی

تخت ہے اور کہانی ہے وہی اور سازش بھی پرانی ہے وہی قاضی شہر نے قبلہ بدلہ لیکن خطبے میں روانی ہے وہی خیمہ کش اب کے ذرا دیکھ کے ہو جس پہ پہرہ تھا ، یہ پانی ہے وہی صلح کو فسخ کیا دل میں مگر اب بھی پیغام زبانی ہے وہی آج بھی چہرہ ء خورشید ہے زرد آج بھی شام سہانی ہے وہی بدلے جاتے ہیں یہاں روز طبیب اور زخموں کی کہانی ہے وہی حجلہ غم یونہی آراستہ ہے دل کی پوشاک شہانی ہے وہی شہر کا شہر یہاں ڈوب گیا اور دریا کی روانی ہے وہی​

— پروین شاکر

English rendering

Takht hai aur kahani hai wahi Aur saazish bhi purani hai wahi Qazi-e-shehr ne qibla badla Lekin khutbe mein rawani hai wahi Khaima kash ab ke zara dekh ke ho Jis pe pehra tha, yeh paani hai wahi Sulh ko faskh kiya dil mein magar Ab bhi paigham zabani hai wahi Aaj bhi chehra-e-khursheed hai zard Aaj bhi sham suhani hai wahi Badle jaate hain yahan roz tabeeb Aur zakhmon ki kahani hai wahi Hujla-e-gham yunhi aarasta hai Dil ki poshaak shahani hai wahi Shehr ka shehr yahan doob gaya Aur dariya ki rawani hai wahi

‹ کلام کی فہرست پر واپس