میان کار دنیا ہم سے دل ناشاد کیا کرتے
میان کار دنیا ہم سے دل ناشاد کیا کرتے ہمیں وہ یاد کب آیا اسے ہم یاد کیا کرتے اگر پہچان اپنی اک دل ویران ہے تو پھر وہ ہم کو شاد کیا اور ہم اسے آباد کیا کرتے ہمیں جلدی بہت تھی عشق میں برباد ہونے کی سو پیش و پس میں پڑ کے وقت کو برباد کیا کرتے بھلا یہ آہ و زاری شعبدہ بازوں کے بس کی ہے فغاں اعجاز ہوتی ہے فغاں ایجاد کیا کرتے اگر ہم صرف ہو جاتے کہیں فریاد کی لے میں تو بس لے کار ہو سکتے تھے ہم فریاد کیا کرتے
English rendering
Mian-e-kaar-e-duniya hum se dil nashaad kiya karte Hamein woh yaad kab aaya ussay hum yaad kiya karte Agar pehchan apni ek dil-e-veeran hai toh phir Woh hum ko shaad kiya aur hum ussay abaad kiya karte Hamein jaldi bahut thi ishq mein barbaad hone ki So pesh-o-pas mein pad ke waqt ko barbaad kiya karte Bhala yeh aah-o-zaari shobada-bazon ke bas ki hai Fughaan aijaaz hoti hai fughaan ijaad kiya karte Agar hum sarf ho jaate kahin fariyaad ki lay mein Toh bas lay kar ho sakte thhe hum fariyaad kiya karte