بے گھری ہے کہاں ٹھکانا ہے
بے گھری ہے کہاں ٹھکانا ہے کیا خبر کتنی دور جانا ہے آپ یہ بوجھ کہہ رہے ہیں جسے ہم نے اک عمر تک اٹھانا ہے اس کی حرمت پہ حرف آتے ہی ہم فقیروں نے ہار جانا ہے ہم کسی اور ہی زمانے سے یہ کوئی اور ہی زمانا ہے ہم کو زخموں کی فکر لاحق ہے آپ نے قافیہ نبھانا ہے یہ جو خاموش ہے یہ دانش ہے شہر نے غلغلا مچانا ہے
English rendering
Be-gharī hai kahāñ ṭhikānā hai Kyā khabar kitnī duur jānā hai Aap ye bojh keh rahe hain jise Ham ne ik umr tak uṭhānā hai Is kī hurmat pe harf aate hī Ham faqīroñ ne haar jānā hai Ham kisī aur hī zamāne se Ye koī aur hī zamāna hai Ham ko zakhmoñ kī fikr lāhiq hai Aap ne qāfiya nibhānā hai Ye jo khāmosh hai ye dānish hai Shehr ne ghalghala machānā hai