زہرا نگاہ

زہرا نگاہ

شاعر — Zehra Nigah

تعارف شاعری

جرمِ وعدہ

مِرے بچّے ہزاروں بار میں نے تم کو اک قصہ سنایا ہے کبھی لوری کے آنچل میں کبھی باتوں کے جھولے میں تمھیں بہلا کے لپٹا کے سُلایا ہے تمہارے گرم رخساروں کو اپنے سرد ہونٹوں سے چھوا ہے تم سے اک وعدہ کیا ہے مِرے بچّے کہانی میں تھکی ہاری جو لڑکی تھی وہ شہزادی نہیں میں تھی وہ جادو کا محل جو اک پل میں جل کے صحرا ہو گیا تھا وہ مِرا گھر تھا جہاں آنکھوں کی سوئیاں رہ گئی تھیں خواب میرے تھے وہ جن میں گھِر گئی تھی غیر کیا سب میرے اپنے تھے جہاں اسکا فسانہ تھا وہیں میری حقیقت تھی جہاں وہ مڑ کے پتھر ہو گئی میری محبت تھی ہزاروں آگ کے میدان تھے بارش لہو کی تھی یہ سب کچھ مجھ پہ گزری تھی مِرے بچّے کہانی میں تھکی ہاری جو لڑکی تھی وہ شہزادی نہیں میں تھی جہاں قصے کا آخر تھا مِرے بچّے ! وہاں تم تھے خوشی کی زندگانی کی علامت تمناؤں کا اک خوابِ مسلسل رفاقت کی صداقت کی ضمانت جہاں پر صرف خوش انجام تھا ، ہر ایک افسانہ مرے بچّے ! وہاں تم تھے ، وہاں تم تھے مری آنکھیں کسی پیمان کے زخموں سے بوجھل تھیں تمہارا عکس ان زخموں کا مرہم تھا ادھورے عہد کے رعشے سے میرے ہاتھ لرزاں تھے تمہارا ساتھ اک تسکینِ پیہم تھا مجھے اقرار تھا میں خاک ہوں تم حسن و زیبائش مجھے احساس تھا میں خوف ہوں تم امن و آسائش میں ماضی ہوں مگر تم صورتِ فردا فروزاں ہو میں مشکل ہوں مگر تم صورتِ امید آساں ہو مِرے بچّے ! مرا احساس اور اقرار دونوں آج مجرم ہیں میں اپنا سر جھکاۓ اپنی فردِ جرم سنتی ہوں بجاۓ گل رداۓِ آرزو سے خار چنتی ہوں تمھیں معلوم ہے الزام کیا ہے وہی وعدہ جو انسانوں کی تقدیروں میں لکھا ہے تحفظ کا ، تمہاری آبرو کا ، سر بلندی کا

— زہرا نگاہ

English rendering

Mere bachche hazāroñ baar maiñ ne tum ko ik qissa sunāyā hai kabhī lorī ke āñchal mein kabhī bātoñ ke jhūle mein tumheiñ bahlā ke lipṭā ke sulāyā hai tumhāre garm ruḳhsāroñ ko apne sard hoñṭoñ se chhuā hai tum se ik wa'da kiyā hai Mere bachche kahānī mein thakī hārī jo laṛkī thī woh shehzādī nahīñ maiñ thī woh jādu kā mahal jo ik pal mein jal ke sahrā ho gayā thā woh merā ghar thā jahāñ āñkhoñ kī sū'iyyāñ rah ga'īñ thiiñ ḳhwāb mere the woh jin mein ghir ga'ī thī Ghair kyā sab mere apne the jahāñ iskā fasāna thā wahīñ merī haqīqat thī jahāñ woh muṛ ke patthar ho ga'ī merī mohabat thī hazāroñ aag ke maidān the bārish lahu kī thī yeh sab kuchh mujh pe guzrī thī Mere bachche kahānī mein thakī hārī jo laṛkī thī woh shehzādī nahīñ maiñ thī jahāñ qisse kā āḳhir thā Mere bachche ! wahāñ tum the ḳhushī kī zindagānī kī alāmat tamannā'oñ kā ik ḳhwāb-e-musalsal rafāqat kī sadāqat kī zamānat jahāñ par sirf ḳhush anjām thā , har ek afsāna Mere bachche ! wahāñ tum the , wahāñ tum the Merī āñkheiñ kisī paimān ke zaḳhmoñ se bojhāl thiiñ tumhārā aks un zaḳhmoñ kā marham thā adhūre ahd ke ra'she se mere haath larzāñ the tumhārā sāth ik taskīn-e-paiham thā mujhe iqrār thā maiñ ḳhaak hūñ tum husn-o-zebā'ish mujhe ehsās thā maiñ ḳhauf hūñ tum amn-o-āsā'ish maiñ māzī hūñ magar tum sūrat-e-fardā farozāñ ho maiñ mushkil hūñ magar tum sūrat-e-ummeed āsāñ ho Mere bachche ! merā ehsās aur iqrār donoñ aaj mujrim hain maiñ apnā sar jhukā'e apnī fard-e-jurm suntī hūñ bajā'e gul ridā-e-ārzū se ḳhār chuntī hūñ tumheiñ ma'lūm hai ilzām kyā hai wahī wa'da jo insānoñ kī taqdeeroñ mein likhā hai tahaffuz kā , tumhārī ābrū kā , sar bulandī kā

‹ کلام کی فہرست پر واپس