ابھیشک شکلا

ابھیشک شکلا

شاعر — Abhishek Shukla

تعارف شاعری

اب اختیار میں موجیں نہ یہ روانی ہے

اب اختیار میں موجیں نہ یہ روانی ہے میں بہہ رہا ہوں کہ میرا وجود پانی ہے میں اور میری طرح تو بھی اک حقیقت ہے پھر اس کے بعد جو بچتا ہے وہ کہانی ہے ترے وجود میں کچھ ہے جو اس زمیں کا نہیں ترے خیال کی رنگت بھی آسمانی ہے ذرا بھی دخل نہیں اس میں ان ہواؤں کا ہمیں تو مصلحتاً اپنی خاک اڑانی ہے یہ خواب گاہ یہ آنکھیں یہ میرا عشق قدیم ہر ایک چیز مری ذات میں پرانی ہے وہ ایک دن جو تجھے سوچنے میں گزرا تھا تمام عمر اسی دن کی ترجمانی ہے نواح جاں میں بھٹکتی ہیں خوشبوئیں جس کی وہ ایک پھول کہ لگتا ہے رات رانی ہے ارادتاً تو کہیں کچھ نہیں ہوا لیکن میں جی رہا ہوں یہ سانسوں کی خوش گمانی ہے

— ابھیشک شکلا

English rendering

Ab ikhtiyaar mein maujein na yeh rawaani hai Main beh raha hoon ke mera wajood paani hai Main aur meri tarah to bhi ik haqeeqat hai Phir is ke baad jo bachta hai woh kahaani hai Tere wajood mein kuchh hai jo is zameen ka nahin Tere khayaal ki rangat bhi aasmaani hai Zara bhi dakhal nahin is mein in hawaaon ka Hamein to maslahatan apni khaak uraani hai Yeh khwaab gaah yeh aankhein yeh mera ishq qadeem Har ek cheez meri zaat mein puraani hai Woh ek din jo tujhe sochne mein guzra tha Tamaam umr usi din ki tarjumaani hai Nawaah-e-jaan mein bhatakti hain khushbooein jis ki Woh ek phool ke lagta hai raat raani hai Iraadatan to kahin kuchh nahin hua lekin Main ji raha hoon yeh saanson ki khush-gumaani hai

‹ کلام کی فہرست پر واپس