کہو تو لوٹ جاتے ہیں
کہو تو لوٹ جاتے ہیں! ابھی تو بات لمحوں تک ہے، سالوں تک نہیں آئی ابھی مسکانوں کی نوبت بھی، نالوں تک نہیں آئی ابھی تو کوئی مجبوری، خیالوں تک نہیں آئی ابھی تو گرد پیروں تک ہے، بالوں تک نہیں آئی کہو تو لوٹ جاتے ہیں چلو اک فیصلہ کرنے، شجر کی اور جاتے ہیں ابھی کاجل کی ڈوری۔ سرخ گالوں تک نہیں آئی زباں دانتوں تلک ہے، زہر پیالوں تک نہیں آئی ابھی تو مشک کستوری غزالوں تک نہیں آئی ابھی روداد بے عنواں ہمارے درمیاں ہے دنیا والوں تک نہیں آئی کہو تو لوٹ جاتے ہیں ابھی نزدیک ہیں گھر اور منزل دور ہے اپنی مبادا نار ہو جائے یہ ہستی نور ہے اپنی کہو تو لوٹ جاتے ہیں یہ رستہ پیار کا رستہ رسن کا دار کا رستہ بہت دشوار ہے جاناں۔ ۔ ۔ ۔ کہ اس رستے کا ہر ذرہ بھی اک کہسار ہے جاناں کہو تو لوٹ جاتے ہیں میرے بارے نہ کچھ سوچو مجھے طے کرنا آتا ہے رسن کا، دار کا رستہ یہ آسیبوں بھرا رستہ، یہ اندھی غار کا رستہ تمہارا نرم و نازک ہاتھ ہوگر میرے ہاتھوں میں تو میں سمجھوں کہ جیسے دو جہاں ہیں میری مٹھی میں تمہارا قرب ہو تو، مشکلیں کافور ہو جائیں یہ اندھے اور کالے راستے پر نور ہو جائیں تمہارے گیسووں کی چھاوں مل جائے تو سورج سے الجھنا بات ہی کیا ہے اٹھا لو اپنا سایہ تو، میری اوقات ہی کیا ہے؟ میرے بارے نہ کچھ سوچو، تم اپنی بات بتلاو کہو ! تو چلتے رہتے ہیں کہو !! تو لوٹ جاتے ہیں !!
English rendering
Kaho to lauṭ jaate haiñ! Abhī to bāt lamhoñ tak hai, sāloñ tak nahīñ āī Abhī muskānoñ kī nau'bat bhī, nāloñ tak nahīñ āī Abhī to koī majbūrī, khayāloñ tak nahīñ āī Abhī to gard pairoñ tak hai, bāloñ tak nahīñ āī Kaho to lauṭ jaate haiñ Chalo ik faisla karne, shajar kī aur jaate haiñ Abhī kājal kī ḍorī. Surkh gāloñ tak nahīñ āī Zabān dāntoñ talak hai, zehr pyāloñ tak nahīñ āī Abhī to mushk-e-kastūrī ghazāloñ tak nahīñ āī Abhī rudād be-unvāñ Hamāre darmiyān hai duniyā wāloñ tak nahīñ āī Kaho to lauṭ jaate haiñ Abhī nazdīk haiñ ghar aur manzil dūr hai apnī Mabādā nār ho jāe ye hastī nūr hai apnī Kaho to lauṭ jaate haiñ Ye rastā pyār kā rastā rasan kā dār kā rastā Bahut dushwār hai jānāñ.... Ki is raste kā har zarra bhī ik kohsār hai jānāñ Kaho to lauṭ jaate haiñ Mere bāre na kuchh socho mujhe tai karnā ātā hai Rasan kā, dār kā rastā Ye āsīboñ bharā rastā, ye andhī ghār kā rastā Tumhārā narm o nāzuk hāth hogar mere hāthoñ mein To maiñ samjhūñ ki jaise do jahāñ haiñ merī muṭṭhī mein Tumhārā qurb ho to, mushkileñ kāfūr ho jāeñ Ye andhe aur kāle rāste pur-nūr ho jāeñ Tumhāre gīsūoñ kī chhāoñ mil jāe To sūraj se ulajhnā bāt hī kyā hai Uṭhā lo apnā sāyā to, merī auqāt hī kyā hai? Mere bāre na kuchh socho, tum apnī bāt batlāo Kaho ! To chalte rahte haiñ Kaho !! To lauṭ jaate haiñ !!