مر گئے اے واہ ان کی ناز برداری میں ہم
مر گئے اے واہ ان کی ناز برداری میں ہم دل کے ہاتھوں سے پڑے کیسی گرفتاری میں ہم سب پہ روشن ہے ہماری سوزش دل بزم میں شمع ساں جلتے ہیں اپنی گرم بازاری میں ہم یاد میں ہے تیرے دم کی آمد و شد پر خیال بے خبر سب سے ہیں اس دم کی خبرداری میں ہم جب ہنسایا گردش گردوں نے ہم کو شکل گل مثل شبنم ہیں ہمیشہ گریہ و زاری میں ہم چشم و دل بینا ہے اپنے روز و شب اے مردماں گرچہ سوتے ہیں بظاہر پر ہیں بیداری میں ہم دوش پر رخت سفر باندھے ہے کیا غنچہ صبا دیکھتے ہیں سب کو یاں جیسے کہ تیاری میں ہم کب تلک بے دید سے یا رب رکھیں چشم وفا لگ رہے ہیں آج کل تو دل کی غم خواری میں ہم دیکھ کر آئینہ کیا کہتا ہے یارو اب وہ شوخ ماہ سے صد چند بہتر ہیں ادا داری میں ہم اے ظفرؔ لکھ تو غزل بحر و قوافی پھیر کر خامۂ در ریز سے ہیں اب گہر باری میں ہم
English rendering
Mar ga'e ai vāh un kī nāz-bardārī mein ham Dil ke hāthoñ se paṛe kaisī giriftārī mein ham Sab pe raushan hai hamārī sozish-e-dil bazm mein Sham'a sāñ jalte haiñ apnī garm-bāzārī mein ham Yād mein hai tere dam kī āmad o shad par khayāl Be-khabar sab se haiñ us dam kī khabardārī mein ham Jab hansāyā gardish-e-gardūñ ne ham ko shakl-e-gul Misl-e-shabnam haiñ hamesha girya o zārī mein ham Chashm-o-dil bīnā hai apne roz o shab ai mardumān Garche sote haiñ ba-zāhir par haiñ bedārī mein ham Dosh par rakht-e-safar bāñdhe hai kyā ghunja-e-sabā Dekhte haiñ sab ko yāñ jaise ke tayyārī mein ham Kab talak be-dīd se yā Rab rakheñ chashm-e-vafā Lag rahe haiñ āj kal to dil kī gham-khvārī mein ham Dekh kar ā'īna kyā kahtā hai yāro ab wo shokh Māh se sad chand behtar haiñ adā-dārī mein ham Ai Zafarؔ likh to ghazal bahr o qavāfī pher kar Khāma-dar-rez se haiñ ab gohar-bārī mein ham