محبت چاہیے باہم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہو
محبت چاہیے باہم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہو خوشی ہو اس میں یا ہو غم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہو غنیمت تم اسے سمجھو کہ اس خم خانہ میں یارو نصیب اک دم دل خرم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہو دلاؤ حضرت دل تم نہ یاد خط سبز اس کا کہیں ایسا نہ ہو یہ سم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہو ہمیشہ چاہتا ہے دل کہ مل کر کیجے مے نوشی میسر جام مے جم جم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہو ہم اپنا عشق چمکائیں تم اپنا حسن چمکاؤ کہ حیراں دیکھ کر عالم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہو رہے حرص و ہوا دائم عزیزو ساتھ جب اپنے نہ کیونکر فکر بیش و کم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہو ظفرؔ سے کہتا ہے مجنوں کہیں درد دل محزوں جو غم سے فرصت اب اک دم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہو
English rendering
Mohabbat chahiye bāham hamīñ bhī ho tumhīñ bhī ho Khushī ho is mein yā ho gham hamīñ bhī ho tumhīñ bhī ho Ghanīmat tum ise samjho ke is Kham-khāna mein yāro Nasīb ik dam dil-e-khurram hamīñ bhī ho tumhīñ bhī ho Dilāo Hazrat-e-dil tum na yād khatt-e-sabz us kā Kahīñ aisā na ho ye sam hamīñ bhī ho tumhīñ bhī ho Hamesha chāhtā hai dil ke mil kar kījiye mai-noshī Muyassar jām-e-mai jam jam hamīñ bhī ho tumhīñ bhī ho Hum apnā ishq chamkā'eñ tum apnā husn chamkāo Ke hairān dekh kar ālam hamīñ bhī ho tumhīñ bhī ho Rahe hirs o havā dāyam azīzo sāth jab apne Na kyūñkar fikr-e-besh o kam hamīñ bhī ho tumhīñ bhī ho Zafarؔ se kahtā hai Majnūñ kahīñ dard-e-dil-e-mahzūñ Jo gham se fursat ab ik dam hamīñ bhī ho tumhīñ bhī ho