گیت لکھے بھی تو ایسے کہ سنائے نہ گئے
گیت لکھے بھی تو ایسے کہ سنائے نہ گئے زخم لفظوں میں یوں اترے کہ دکھائے نہ گئے تیرے کچھ خواب جنازے ہیں میری آنکھوں میں وہ جنازے جو کبھی گھر سے اُٹھائے نہ گئے ہم نے قسمیں بھی اٹھا دیکھیں مگر بھول گئے ہم نے وعدے بھی کیے اور نبھائے نہ گئے شہر میں فتح کی رونق تھی کسی دشمن پر ہم سے لیکن در و دیوار سجائے نہ گئے کیا بس اتنی ہی محبت تھی کہ بولے نہ چلے کیا بس اتنا ہی تعلق تھا کہ آئے نہ گئے آج تک رکھے ہیں پچھتاوے کی الماری میں ایک دو وعدے، جو دونوں سے نبھائے نہ گئ
English rendering
Geet likhe bhi to aise ke sunaaye na gaye Zakhm lafzon mein yoon utre ke dikhaaye na gaye Tere kuchh khwab janaze hain meri aankhon mein Woh janaze jo kabhi ghar se uthaye na gaye Hum ne qasmein bhi utha dekhi magar bhool gaye Hum ne waade bhi kiye aur nibhaaye na gaye Shahar mein fateh ki raunaq thi kisi dushman par Hum se lekin dar-o-deewar sajaaye na gaye Kya bas itni hi mohabbat thi ke bole na chale Kya bas itna hi taalluq tha ke aaye na gaye Aaj tak rakhe hain pachhtaawe ki almaari mein Ek do waade, jo donon se nibhaaye na gaye