زندگی باعث امید بھی رسوائی بھی
زندگی باعث امید بھی رسوائی بھی اس کی دہلیز تلک لے گئی بھی لائی بھی اسے تو دیکھتے ہی ڈگمگا جاتے ہیں قدم اور پھر اس پہ وہ لے لیتی ہے انگڑائی بھی میں کہ تنہا بھی ہوں روتا بھی ہوں ہنستا بھی ہوں یعنی میں خود ہی تماشا بھی تماشائی بھی اپنے عیبوں کو بھی اشعار میں کہہ دیتا ہوں اور ستم یہ ہے کہ ہوتی ہے پذیرائی بھی میرے ہم راہ ترے سوگ میں رہتے ہیں مدام صرف کمرہ ہی نہیں صحن بھی انگنائی بھی
English rendering
Zindagi baa'is-e-ummeed bhi ruswaayi bhi Us ki dehleez talak le gayi bhi laayi bhi Use to dekhte hi dagmaga jaate hain qadam Aur phir us pe woh le leti hai angDāyi bhi Main ke tanhā bhi hoon rota bhi hoon hansta bhi hoon Ya'ni main khud hi tamasha bhi tamashāi bhi Apne aibon ko bhi ash'aar mein keh deta hoon Aur sitam yeh hai ke hoti hai pazeeraai bhi Mere humraah tere sog mein rehte hain mudaam Sirf kamra hi nahin sehan bhi angnaayi bhi