ہمسائے کے نام
کچھ تم نے کہا کچھ میں نے کہا اور بڑھتے بڑھتے بات بڑھی دل اوب گیا دل ڈوب گیا اور گہری کالی رات بڑھی تم اپنے گھر میں اپنے گھر سارے دروازے بند کئے بیٹھے ہیں کڑوے گھونٹ پئے اوڑھے ہیں غصے کی چادر کچھ تم سوچو کچھ میں سوچوں کیوں اونچی ہیں یہ دیواریں کب تک ہم ان پر سر ماریں کب تک یہ اندھیرے رہنے ہیں کینہ کے یہ گھیرے رہنے ہیں چلو اپنے دروازے کھولیں اور گھر کے باہر آئیں ہم دل ٹھہرے جہاں ہیں برسوں سے وہ اک نکڑ ہے نفرت کا کب تک اس نکڑ پر ٹھہریں اب اس کے آگے جائیں ہم بس تھوڑی دور اک دریا ہے جہاں ایک اجالا بہتا ہے واں لہروں لہروں ہیں کرنیں اور کرنوں کرنوں ہیں لہریں ان کرنوں میں ان لہروں میں ہم دل کو خوب نہانے دیں سینوں میں جو اک پتھر ہے اس پتھر کو گھل جانے دیں دل کے اک کونے میں بھی چھپی گر تھوڑی سی بھی نفرت ہے اس نفرت کو دھل جانے دیں دونوں کی طرف سے جس دن بھی اظہار ندامت کا ہوگا تب جشن محبت کا ہوگا
English rendering
Kuchh tum ne kaha Kuchh maiñ ne kaha Aur baṛhte baṛhte baat baṛhi Dil oob gaya Dil ḍoob gaya Aur gahri kaali raat baṛhi Tum apne ghar Maiñ apne ghar Saare darwaaze band kiye Baiṭhe hain kaṛwe ghooñṭ piye Oṛhe hain ghusse ki chaadar Kuchh tum socho Kuchh maiñ sochhooñ Kyoñ oonchi hain yeh deewareiñ Kab tak hum un par sar maarein Kab tak yeh andhere rahne hain Keena ke yeh ghere rahne hain Chalo apne darwaaze kholeiñ Aur ghar ke baahar aa'eiñ hum Dil ṭhahre jahaañ hain barsoñ se Woh ik nukaṛ hai nafrat ka Kab tak us nukaṛ par ṭhahreiñ Ab us ke aage jaa'eiñ hum Bas thoṛi door ik darya hai Jahaañ ek ujaala bahta hai Waañ lehroñ lehroñ hain kirneiñ Aur kirnoñ kirnoñ hain lehreiñ In kirnoñ meiñ In lehroñ meiñ Hum dil ko khoob nahaane deñ Seenoñ meiñ jo ik patthar hai Us patthar ko ghul jaane deñ Dil ke ik kone meiñ bhi chhupi Gar thoṛi si bhi nafrat hai Us nafrat ko dhul jaane deñ Donoñ ki taraf se jis din bhi Izhaar-e-nadaamat ka hoga Tab jashn-e-mohabbat ka hoga