پیاس کی کیسے لائے تاب کوئی
پیاس کی کیسے لائے تاب کوئی نہیں دریا تو ہو سراب کوئی زخم دل میں جہاں مہکتا ہے اسی کیاری میں تھا گلاب کوئی رات بجتی تھی دور شہنائی رویا پی کر بہت شراب کوئی دل کو گھیرے ہیں روزگار کے غم ردی میں کھو گئی کتاب کوئی کون سا زخم کس نے بخشا ہے اس کا رکھے کہاں حساب کوئی پھر میں سننے لگا ہوں اس دل کی آنے والا ہے پھر عذاب کوئی شب کی دہلیز پر شفق ہے لہو پھر ہوا قتل آفتاب کوئی
English rendering
Pyaas ki kaise laaye taab koi Nahin darya to ho saraab koi Zakhm-e-dil mein jahan mehakta hai Usi kiyari mein tha gulaab koi Raat bajti thi door shehnaai Roya pee kar bahut sharaab koi Dil ko ghere hain rozgaar ke gham Raddi mein kho gai kitaab koi Kaun sa zakhm kis ne bakhsha hai Us ka rakhe kahan hisaab koi Phir main sunne laga hoon is dil ki Aane wala hai phir azaab koi Shab ki dehleez par shafaq hai lahoo Phir hua qatl-e-aaftab koi