ساری حیرت ہے مری ساری ادا اس کی ہے
ساری حیرت ہے مری ساری ادا اس کی ہے بے گناہی ہے مری اور سزا اس کی ہے میرے الفاظ میں جو رنگ ہے وہ اس کا ہے میرے احساس میں جو ہے وہ فضا اس کی ہے شعر میرے ہیں مگر ان میں محبت اس کی پھول میرے ہیں مگر باد صبا اس کی ہے اک محبت کی یہ تصویر ہے دو رنگوں میں شوق سب میرا ہے اور ساری حیا اس کی ہے ہم نے کیا اس سے محبت کی اجازت لی تھی دل شکن ہی سہی پر بات بجا اس کی ہے ایک میرے ہی سوا سب کو پکارے ہے کوئی میں نے پہلے ہی کہا تھا یہ صدا اس کی ہے خون سے سینچی ہے میں نے جو زمیں مر مر کے وہ زمیں ایک ستم گر نے کہا اس کی ہے اس نے ہی اس کو اجاڑا ہے اسے لوٹا ہے یہ زمیں اس کی اگر ہے بھی تو کیا اس کی ہے
English rendering
Saari hairat hai meri saari adaa us ki hai Be-gunahi hai meri aur saza us ki hai Mere alfaaz mein jo rang hai woh us ka hai Mere ehsaas mein jo hai woh fiza us ki hai Sher mere hain magar un mein mohabbat us ki Phool mere hain magar baad-e-saba us ki hai Ek mohabbat ki yeh tasveer hai do rangon mein Shauq sab mera hai aur saari haya us ki hai Hum ne kya us se mohabbat ki ijazat li thi Dil shikan hi sahi par baat baja us ki hai Ek mere hi siwa sab ko pukare hai koi Main ne pehle hi kaha tha yeh sada us ki hai Khoon se seenchi hai main ne jo zameen mar mar ke Woh zameen ek sitamgar ne kaha us ki hai Us ne hi us ko ujaada hai use loota hai Yeh zameen us ki agar hai bhi to kya us ki hai