جاوید اختر

جاوید اختر

شاعر — Javed Akhtar

تعارف شاعری

یہ کھیل کیا ہے

مرے مخالف نے چال چل دی ہے اور اب میری چال کے انتظار میں ہے مگر میں کب سے سفید خانوں سیاہ خانوں میں رکھے کالے سفید مہروں کو دیکھتا ہوں میں سوچتا ہوں یہ مہرے کیا ہیں اگر میں سمجھوں کے یہ جو مہرے ہیں صرف لکڑی کے ہیں کھلونے تو جیتنا کیا ہے ہارنا کیا نہ یہ ضروری نہ وہ اہم ہے اگر خوشی ہے نہ جیتنے کی نہ ہارنے کا ہی کوئی غم ہے تو کھیل کیا ہے میں سوچتا ہوں جو کھیلنا ہے تو اپنے دل میں یقین کر لوں یہ مہرے سچ مچ کے بادشاہ و وزیر سچ مچ کے ہیں پیادے اور ان کے آگے ہے دشمنوں کی وہ فوج رکھتی ہے جو کہ مجھ کو تباہ کرنے کے سارے منصوبے سب ارادے مگر ایسا جو مان بھی لوں تو سوچتا ہوں یہ کھیل کب ہے یہ جنگ ہے جس کو جیتنا ہے یہ جنگ ہے جس میں سب ہے جائز کوئی یہ کہتا ہے جیسے مجھ سے یہ جنگ بھی ہے یہ کھیل بھی ہے یہ جنگ ہے پر کھلاڑیوں کی یہ کھیل ہے جنگ کی طرح کا میں سوچتا ہوں جو کھیل ہے اس میں اس طرح کا اصول کیوں ہے کہ کوئی مہرہ رہے کہ جائے مگر جو ہے بادشاہ اس پر کبھی کوئی آنچ بھی نہ آئے وزیر ہی کو ہے بس اجازت کہ جس طرف بھی وہ چاہے جائے میں سوچتا ہوں جو کھیل ہے اس میں اس طرح اصول کیوں ہے پیادہ جو اپنے گھر سے نکلے پلٹ کے واپس نہ جانے پائے میں سوچتا ہوں اگر یہی ہے اصول تو پھر اصول کیا ہے اگر یہی ہے یہ کھیل تو پھر یہ کھیل کیا ہے میں ان سوالوں سے جانے کب سے الجھ رہا ہوں مرے مخالف نے چال چل دی ہے اور اب میری چال کے انتظار میں ہے

— جاوید اختر

English rendering

Mere mukhalif ne chaal chal di hai Aur ab Meri chaal ke intezaar mein hai Magar main kab se Safed khanon Siyah khanon mein rakhe Kaale safed mohron ko dekhta hoon Main sochta hoon Yeh mohre kya hain Agar main samjhoon Ke yeh jo mohre hain Sirf lakdi ke hi hain khilaune To jeetna kya hai haarna kya Na yeh zaroori Na woh aham hai Agar khushi hai na jeetne ki Na haarne ka hi koi gham hai To khel kya hai Main sochta hoon Jo khelna hai To apne dil mein yaqeen kar loon Yeh mohre sach much ke badshah o wazir Sach much ke hain pyaade Aur un ke aage hai Dushmanon ki woh fauj Rakhti hai jo ke mujh ko tabah karne ke Saare mansoobe Sab irade Magar aisa jo maan bhi loon To sochta hoon Yeh khel kab hai Yeh jang hai jis ko jeetna hai Yeh jang hai jis mein sab hai jaaiz Koi yeh kehta hai jaise mujh se Yeh jang bhi hai Yeh khel bhi hai Yeh jang hai par khiladiyon ki Yeh khel hai jang ki tarah ka Main sochta hoon Jo khel hai Is mein is tarah ka usool kyun hai Ke koi mohra rahe ke jaaye Magar jo hai badshah Is par kabhi koi aanch bhi na aaye Wazir hi ko hai bas ijazat Ke jis taraf bhi woh chahe jaaye Main sochta hoon Jo khel hai Is mein is tarah usool kyun hai Pyaada jo apne ghar se nikle Palat ke wapas na jaane paaye Main sochta hoon Agar yehi hai usool To phir usool kya hai Agar yehi hai yeh khel To phir yeh khel kya hai Main in sawalon se jaane kab se ulajh raha hoon Mere mukhalif ne chaal chal di hai Aur ab meri chaal ke intezaar mein hai

‹ کلام کی فہرست پر واپس