میراجی

میراجی

شاعر — Meera Ji

تعارف شاعری

کلرک کا نغمۂ محبت

سب رات مری سپنوں میں گزر جاتی ہے اور میں سوتا ہوں پھر صبح کی دیوی آتی ہے اپنے بستر سے اٹھتا ہوں منہ دھوتا ہوں لایا تھا کل جو ڈبل روٹی اس میں سے آدھی کھائی تھی باقی جو بچی وہ میرا آج کا ناشتہ ہے دنیا کے رنگ انوکھے ہیں جو میرے سامنے رہتا ہے اس کے گھر میں گھر والی ہے اور دائیں پہلو میں اک منزل کا ہے مکاں وہ خالی ہے اور بائیں جانب اک عیاش ہے جس کے ہاں اک داشتہ ہے اور ان سب میں اک میں بھی ہوں لیکن بس تو ہی نہیں ہیں اور تو سب آرام مجھے اک گیسوؤں کی خوشبو ہی نہیں فارغ ہوتا ہوں ناشتے سے اور اپنے گھر سے نکلتا ہوں دفتر کی راہ پر چلتا ہوں رستے میں شہر کی رونق ہے اک تانگہ ہے دو کاریں ہیں بچے مکتب کو جاتے ہیں اور تانگوں کی کیا بات کہوں کاریں تو چھچھلتی بجلی ہیں تانگوں کے تیروں کو کیسے سہوں یہ مانا ان میں شریفوں کے گھر کی دھن دولت ہے مایا ہے کچھ شوخ بھی ہیں معصوم بھی ہیں لیکن رستے پر پیدل مجھ سے بد قسمت مغموم بھی ہیں تانگوں پر برق تبسم ہے باتوں کا میٹھا ترنم ہے اکساتا ہے دھیان یہ رہ رہ کر قدرت کے دل میں ترحم ہے ہر چیز تو ہے موجود یہاں اک تو ہی نہیں اک تو ہی نہیں اور میری آنکھوں میں رونے کی ہمت ہی نہیں آنسو ہی نہیں جوں توں رستہ کٹ جاتا ہے اور بندی خانہ آتا ہے چل کام میں اپنے دل کو لگا یوں کوئی مجھے سمجھاتا ہے میں دھیرے دھیرے دفتر میں اپنے دل کو لے جاتا ہوں نادان ہے دل مورکھ بچہ اک اور طرح دے جاتا ہوں پھر کام کا دریا بہتا ہے اور ہوش مجھے کب رہتا ہے جب آدھا دن ڈھل جاتا ہے تو گھر سے افسر آتا ہے اور اپنے کمرے میں مجھ کو چپراسی سے بلواتا ہے یوں کہتا ہے ووں کہتا ہے لیکن بے کار ہی رہتا ہے میں اس کی ایسی باتوں سے تھک جاتا ہوں تھک جاتا ہوں پل بھر کے لیے اپنے کمرے کو فائل لینے آتا ہوں اور دل میں آگ سلگتی ہے میں بھی جو کوئی افسر ہوتا اس شہر کی دھول اور گلیوں سے کچھ دور مرا پھر گھر ہوتا اور تو ہوتی لیکن میں تو اک منشی ہوں تو اونچے گھر کی رانی ہے یہ میری پریم کہانی ہے اور دھرتی سے بھی پرانی ہے

— میراجی

English rendering

Sab raat meri sapno mein guzar jaati hai aur main sota hoon Phir subh ki devi aati hai Apne bistar se uthta hoon munh dhota hoon Laaya tha kal jo double roti Is mein se aadhee khai thi Baqi jo bachi woh mera aaj ka naashta hai Duniya ke rang anokhe hain Jo mere saamne rehta hai us ke ghar mein gharwali hai Aur daayein pehlu mein ek manzil ka hai makaan woh khaali hai Aur baayein jaanib ek ayyash hai jis ke haan ek daashta hai Aur in sab mein ek main bhi hoon lekin bas tu hi nahin Hain aur to sab aaram mujhe ek gesu'on ki khushboo hi nahin Faarigh hota hoon naashte se aur apne ghar se nikalta hoon Daftar ki raah par chalta hoon Raste mein shahr ki raunaq hai ek taanga hai do kaarein hain Bachche maktab ko jaate hain aur taangon ki kya baat kahoon Kaarein to chhachhalti bijli hain taangon ke teeron ko kaise sahoon Yeh maana in mein sharifon ke ghar ki dhun daulat hai maaya hai Kuchh shokh bhi hain masoom bhi hain Lekin raste par paidal mujh se bad-qismat maghmoom bhi hain Taangon par barq-e-tabassum hai Baaton ka meetha tarannum hai Uksaata hai dhyaan yeh rah rah kar qudrat ke dil mein tarahhum hai Har cheez to hai maujood yahan ek tu hi nahin ek tu hi nahin Aur meri aankhon mein rone ki himmat hi nahin aansu hi nahin Jun tun rasta kat jaata hai aur bandi khana aata hai Chal kaam mein apne dil ko lagaa yun koi mujhe samjhata hai Main dheere dheere daftar mein apne dil ko le jaata hoon Naadaan hai dil moorakh bachcha ek aur tarah de jaata hoon Phir kaam ka darya behta hai aur hosh mujhe kab rehta hai Jab aadha din dhal jaata hai to ghar se afsar aata hai Aur apne kamre mein mujh ko chapraasi se bulwaata hai Yun kehta hai woon kehta hai lekin bekar hi rehta hai Main us ki aisi baaton se thak jaata hoon thak jaata hoon Pal bhar ke liye apne kamre ko file lene aata hoon Aur dil mein aag sulagti hai main bhi jo koi afsar hota Is shahr ki dhool aur galiyon se kuchh door mera phir ghar hota Aur tu hoti Lekin main to ek munshi hoon tu unche ghar ki raani hai Yeh meri prem kahani hai aur dharti se bhi puraani hai

‹ کلام کی فہرست پر واپس