جاتری
ایک آیا گیا دوسرا آئے گا دیر سے دیکھتا ہوں یوں ہی رات اس کی گزر جائے گی میں کھڑا ہوں یہاں کس لیے مجھ کو کیا کام ہے یاد آتا نہیں یاد بھی ٹمٹماتا ہوا اک دیا بن گئی جس کی رکتی ہوئی اور جھجکتی ہوئی ہر کرن بے صدا قہقہہ ہے مگر میرے کانوں نے کیسے اسے سن لیا ایک آندھی چلی چل کے مٹ بھی گئی آج تک میرے کانوں میں موجود ہے سائیں سائیں مچلتی ہوئی اور ابلتی ہوئی پھیلتی پھیلتی دیر سے میں کھڑا ہوں یہاں ایک آیا گیا دوسرا آئے گا رات اس کی گزر جائے گی ایک ہنگامہ برپا ہے دیکھیں جدھر آ رہے ہیں کئی لوگ چلتے ہوئے اور ٹہلتے ہوئے اور رکتے ہوئے پھر سے بڑھتے ہوئے اور لپکتے ہوئے آ رہے جا رہے ہیں ادھر سے ادھر اور ادھر سے ادھر جیسے دل میں مرے دھیان کی لہر سے ایک طوفان ہے ویسے آنکھیں مری دیکھتی ہی چلی جا رہی ہیں کہ اک ٹمٹماتے دئیے کی کرن زندگی کو پھسلتے ہوئے اور گرتے ہوئے ڈھب سے ظاہر کیے جا رہی ہے مجھے دھیان آتا ہے اب تیرگی اک اجالا بنی ہے مگر اس اجالے سے رستی چلی جا رہی ہیں وہ امرت کی بوندیں جنہیں میں ہتھیلی پہ اپنی سنبھالے رہا ہوں ہتھیلی مگر ٹمٹماتا ہوا اک دیا بن گئی تھی لپک سے اجالا ہوا لو گری پھر اندھیرا سا چھانے لگا بیٹھتا بیٹھتا بیٹھ کر ایک ہی پل میں اٹھتا ہوا جیسے آندھی کے تیکھے تھپیڑوں سے دروازے کے طاق کھلتے رہیں بند ہوتے رہیں پھڑپھڑاتے ہوئے طائر زخم خوردہ کی مانند میں دیکھتا ہی رہا ایک آیا گیا دوسرا آئے گا سوچ آئی مجھے پاؤں بڑھنے سے انکار کرتے گئے میں کھڑا ہی رہا دل میں اک بوند نے یہ کہا رات یوں ہی گزر جائے گی دل کی اک بوند کو آنکھ میں لے کے میں دیکھتا ہی رہا پھڑپھڑاتے ہوئے طائر زخم خوردہ کی مانند دروازے کے طاق اک بار جب مل گئے مجھ کو آہستہ آہستہ احساس ہونے لگا اب یہ زخمی پرندہ نہ تڑپے گا لیکن مرے دل کو ہر وقت تڑپائے گا میں ہتھیلی پہ اپنی سنبھالے رہوں گا وہ امرت کی بوندیں جنہیں آنکھ سے میری رسنا تھا لیکن مری زندگی ٹمٹماتا ہوا اک دیا بن گئی جس کی رکتی ہوئی اور جھجکتی ہوئی ہر کرن بے صدا قہقہہ ہے کہ اس تیرگی میں کوئی بات ایسی نہیں جس کو پہلے اندھیرے میں دیکھا ہو میں نے سفر یہ اجالے اندھیرے کا چلتا رہا ہے تو چلتا رہے گا یہی رسم ہے راہ کی ایک آیا گیا دوسرا آئے گا رات ایسے گزر جائے گی ٹمٹماتے ستارے بتاتے تھے رستے کی ندی بہی جا رہی ہے بہے جا اس الجھن سے ایسے نکل جا کوئی سیدھا منزل پہ جاتا تھا لیکن کئی قافلے بھول جاتے تھے انجم کے دور یگانہ کے مبہم اشارے مگر وہ بھی چلتے ہوئے اور بڑھتے ہوئے شام سے پہلے ہی دیکھ لیتے تھے مقصود کا بند دروازہ کھلنے لگا ہے مگر میں کھڑا ہوں یہاں مجھ کو کیا کام ہے میرا دروازہ کھلتا نہیں ہے مجھے پھیلے صحرا کی سوئی ہوئی ریگ کا ذرہ ذرہ یہی کہہ رہا ہے کے ایسے خرابے میں سوکھی ہتھیلی ہے اک ایسا تلوا کے جس کو کسی خار کی نوک چبھنے پہ بھی کہہ نہیں سکتی مجھ کو کوئی بوند اپنے لہو کی پلا دو مگر میں کھڑا ہوں یہاں کس لیے کام کوئی نہیں ہے تو میں بھی ان آتے ہوئے اور جاتے ہوئے ایک دو تین لاکھوں بگولوں میں مل کر یوں ہی چلتے چلتے کہیں ڈوب جاتا کے جیسے یہاں بہتی لہروں میں کشتی ہر ایک موج کو تھام لیتی ہے اپنی ہتھیلی کے پھیلے کنول میں مجھے دھیان آتا نہیں ہے کہ اس راہ میں تو ہر اک جانے والے کے بس میں ہے منزل میں چل دوں چلوں آئیے آئیے آپ کیوں اس جگہ ایسے چپ چاپ تنہا کھڑے ہیں اگر آپ کہیے تو ہم اک اچھوتی سی ٹہنی سے دو پھول بس بس مجھے اس کی کوئی ضرورت نہیں ہے میں اک دوست کا راستہ دیکھتا ہوں مگر وہ چلا بھی گیا ہے مجھے پھر بھی تسکین آتی نہیں ہے کہ میں ایک صحرا کا باشندہ معلوم ہونے لگا ہوں خود اپنی نظر میں مجھے اب کوئی بند دروازہ کھلتا نظر آئے یہ بات ممکن نہیں ہے میں اک اور آندھی کا مشتاق ہوں جو مجھے اپنے پردے میں یکسر چھپا لے مجھے اب یہ محسوس ہونے لگا ہے سہانا سماں جتنا بس میں تھا میرے وہ سب ایک بہتا سا جھونکا بنا ہے جسے ہاتھ میرے نہیں روک سکتے کہ میری ہتھیلی میں امرت کی بوندیں تو باقی نہیں ہیں فقط ایک پھیلا ہوا خشک بے برگ بے رنگ صحرا ہے جس میں یہ ممکن نہیں میں کہوں ایک آیا گیا دوسرا آئے گا رات میری گزر جائے گی
English rendering
Ek āyā gayā dūsrā āye gā der se dekhtā hūn yūn hī raat us kī guzar jāye gī Main khaṛā hūn yahān kis liye mujh ko kyā kām hai yād ātā nahīn yād bhī ṭimṭimātā Huā ik diyā ban gaī jis kī ruktī huī aur jhijaktī huī har kiran be-sadā qahqahā hai Magar mere kānon ne kaise use sun liyā ek āndhī chalī chal ke miṭ Bhī gaī āj tak mere kānon mein maujūd hai sāin sāin machaltī huī aur Ubāltī huī phailtī phailtī der se main khaṛā hūn yahān ek āyā gayā Dūsrā āye gā raat us kī guzar jāye gī ek hangāma barpā hai dekhein jidhar Ā rahe hain kaī log chalte hue aur ṭahalte hue aur rukte hue phir se Baṛhte hue aur lapakte hue ā rahe jā rahe hain idhar se udhar aur idhar se Udhar jaise dil mein mere dhyān kī lahar se ek tūfān hai waise āñkhein Mirī dekhtī hī chalī jā rahī hain ke ik ṭimṭimāte diye kī kiran zindagi ko phisalte Hue aur girte hue ḍhab se zāhir kiye jā rahī hai mujhe dhyān Ātā hai ab tīrgī ik ujālā banī hai magar is ujāle se rastī chalī jā rahī Hain vo amrit kī būndein jinhein main hathelī pe apnī sambhāle rahā hūn hathelī Magar ṭimṭimātā huā ik diyā ban gaī thī lapak se ujālā huā lo girī phir andherā sā Chhāne lagā baiṭhtā baiṭhtā baiṭh kar ek hī pal mein uṭhtā huā jaise āndhī ke Tīkhe thapeṛon se darvāze ke ṭāq khulte rahein band hote rahein Phaṛphaṛāte hue ṭāir zakhm khūrda kī mānind main dekhtā hī rahā ek āyā Gayā dūsrā āye gā soch āī mujhe pāon baṛhne se inkār karte Gaye main khaṛā hī rahā dil mein ik būnd ne ye kahā raat yūn hī guzar jāye gī Dil kī ik būnd ko āñkh mein le ke main dekhtā hī rahā phaṛphaṛāte hue ṭāir Zakhm khūrda kī mānind darvāze ke ṭāq ek bār jab mil gaye mujh ko āhista āhista Ehsās hone lagā ab ye zakhmī parinda na taṛpe gā lekin mere dil ko har vaqt Taṛpāye gā main hathelī pe apnī sambhāle rahūn gā vo amrit kī būndein jinhein āñkh Se merī rasnā thā lekin mirī zindagi ṭimṭimātā huā ik diyā ban gaī jis kī ruktī huī Aur jhijaktī huī har kiran be-sadā qahqahā hai ke is tīrgī mein koī bāt aisī nahīn Jis ko pehle andhere mein dekhā ho main ne safar ye ujāle andhere kā chaltā Rahā hai to chaltā rahe gā yahī rasm hai rāh kī ek āyā gayā dūsrā Āye gā raat aise guzar jāye gī ṭimṭimāte sitāre batāte the raste kī Nadī bahī jā rahī hai bahe jā is uljhan se aise nikal jā koī sīdhā manzil pe jātā Thā lekin kaī qāfile bhūl jāte the anjum ke daur-e-yagāna ke mubham ishāre magar vo Bhī chalte hue aur baṛhte hue shām se pehle hī dekh lete the maqṣūd kā band Darvāza khulne lagā hai magar main khaṛā hūn yahān mujh ko kyā kām hai merā darvāza Khultā nahīn hai mujhe phaile sahrā kī soī huī reg kā zarra zarra yahī keh rahā hai Ke aise kharābe mein sūkhī hathelī hai ik aisā talvā ke jis ko kisī khār kī nok chubhne pe bhī Keh nahīn saktī mujh ko koī būnd apne lahu kī pilā do magar main khaṛā hūn yahān kis liye Kām koī nahīn hai to main bhī un āte hue aur jāte hue ek do tīn Lākhon bagūlon mein mil kar yūn hī chalte chalte kahīn ḍūb jātā ke jaise yahān Behtī lahron mein kishtī har ek mauj ko thām letī hai apnī hathelī ke phaile kanval Mein mujhe dhyān ātā nahīn hai ke is rāh mein to har ek jāne vāle ke bas Mein hai manzil mein chal dūn chalūn āīye āīye āp kyūn is jagah Aise chup chāp tanhā khaṛe hain agar āp kahīye to ham ik achhūtī sī ṭahnī se Do phūl bas bas mujhe is kī koī zarūrat nahīn hai main ik Dost kā rāsta dekhtā hūn magar vo chalā bhī gayā hai mujhe phir bhī Taskīn ātī nahīn hai ke main ek sahrā kā bāshinda maʿlūm hone lagā hūn khud Apnī nazar mein mujhe ab koī band darvāza khultā nazar āye ye bāt mumkin nahīn hai Main ik aur āndhī kā mushtāq hūn jo mujhe apne parde mein yaksar chhupā le Mujhe ab ye mahsūs hone lagā hai suhāna samāñ jitnā bas mein thā mere Vo sab ek behtā sā jhonkā banā hai jise hāth mere nahīn rok sakte Ke merī hathelī mein amrit kī būndein to bāqī nahīn hī hain faqat ek phailā huā Khushk be-barg be-rang sahrā hai jis mein ye mumkin nahīn main kahūn Ek āyā gayā dūsrā āye gā raat merī guzar jāye gī