لب جوئے بارے
ایک ہی پل کے لیے بیٹھ کے پھر اٹھ بیٹھی آنکھ نے صرف یہ دیکھا کہ نشستہ بت ہے یہ بصارت کو نہ تھی تاب کہ وہ دیکھ سکے کیسے تلوار چلی، کیسے زمیں کا سینہ ایک لمحے کے لیے چشمے کی مانند بنا پیچ کھاتے ہوئے یہ لہر اٹھی دل میں مرے کاش! یہ جھاڑیاں اک سلسلۂ کوہ بنیں دامن کوہ میں میں جا کے ستادہ ہو جاؤں ایسی انہونی جو ہو جائے تو کیوں یہ بھی نہ ہو خشک پتوں کا زمیں پر جو بچھا ہے بستر وہ بھی اک ساز بنے ساز تو ہے ساز تو ہے نغمہ بیدار ہوا تھا جو ابھی کان ترے کیوں اسے سن نہ سکے سننے سے مجبور رہے پردۂ چشم نے صرف ایک نشستہ بت کو ذہن کے دائرۂ خاص میں مرکوز کیا یاد آتا ہے مجھے کان ہوئے تھے بیدار خشک پتوں سے جب آئی تھی تڑپنے کی صدا اور دامن کی ہر اک لہر چمک اٹھی تھی پڑ رہا تھا اسی تلوار کا سایہ شاید جو نکل آئی تھی اک پل میں نہاں خانے سے جیسے بے ساختہ انداز میں بجلی چمکے لیکن اس دامن آلودہ کی ہر لہر مٹی جل پری دیکھتے ہی دیکھتے روپوش ہوئی میں ستادہ ہی رہا میں نے نہ دیکھا (افسوس!) کیسے تلوار چلی کیسے زمیں کا سینہ ایک لمحے کے لیے چشمے کی مانند بنا دامن کوہ میں استادہ نہیں ہوں اس وقت جھاڑیاں سلسلۂ کوہ نہیں پردہ ہیں جس کے اس پار جھلکتا نظر آتا ہے مجھے منظر انجان، اچھوتی سی دلہن کی صورت ہاں تصور کو میں اب اپنے بنا کر دولہا اسی پردے کے نہاں خانے میں لے جاؤں گا کیسے تلوار چلی کیسے زمیں کا سینہ دل بے تاب کی مانند تڑپ اٹھا تھا ایک بے ساختہ انداز میں بجلی کی طرح جل پری گوشۂ خلوت سے نکل آئی تھی! زندگی گرم تھی ہر بوند میں آبی پاؤں خشک پتوں پہ پھسلتے ہوئے جا پہنچے تھے! میں بھی موجود تھا اک کرمک بے نام و نشاں میں نے دیکھا کہ گھٹا شق ہوئی دھارا نکلی برق رفتاری سے اک تیر کماں نے چھوڑا اور وہ خم کھا کے لچکتا ہوا تھرا کے گرا قلۂ کوہ سے گرتے ہوئے پتھر کی طرح کوئی بھی روک نہ تھی اس کے لیے اس کے لیے خشک پتوں کا زمیں پر ہی بچھا تھا بستر اسی بستر پہ وہ انجان پری لیٹ گئی! اور میں کرمک بے نام، گھٹا کی صورت اسی امید میں تکتا رہا تکتا ہی رہا اب اسی وقت کوئی جل کی پری آ جائے بانسری ہاتھ میں لے کر میں گوالا بن جاؤں جل پری آئے کہاں سے؟ وہ اسی بستر پر میں نے دیکھا ابھی آسودہ ہوئی لیٹ گئی لیکن افسوس کہ میں اب بھی کھڑا ہوں تنہا ہاتھ آلودہ ہے، نم دار ہے، دھندلی ہے نظر، ہاتھ سے آنکھوں کے آنسو تو نہیں پونچھے تھے!
English rendering
Ek hī pal ke liye baiṭh ke phir uṭh baiṭhī Āñkh ne sirf ye dekhā ke nashist-e-but hai Ye basārat ko na thī tāb ke vo dekh sake Kaise talvār chalī, kaise zamīn kā sīna Ek lamhe ke liye chashme kī mānind banā Pech khāte hue ye lahar uṭhī dil mein mere Kāsh! Ye jhāṛiyān ik silsila-e-koh banein Dāman-e-koh mein main jā ke istāda ho jāūn Aisī anhonī jo ho jāye to kyūn ye bhī na ho Khushk patton kā zamīn par jo bichhā hai bistar Vo bhī ik sāz bane sāz to hai sāz to hai Naghma bedār huā thā jo abhī kān tere Kyūn اسے sun na sake sunne se majbūr rahe Parda-e-chashm ne sirf ek nashist-e-but ko Zehan ke dāʾira-e-khās mein markūz kiyā Yād ātā hai mujhe kān hue the bedār Khushk patton se jab āī thī taṛapne kī sadā Aur dāman kī har ik lahar chamak uṭhī thī Paṛ rahā thā isī talvār kā sāyā shāyad Jo nikal āī thī ik pal mein nihān khāne se Jaise be-sākhta andāz mein bijlī chamke Lekin us dāman-e-ālūda kī har lahar miṭī Jal parī dekhte hī dekhte rūposh huī Main istāda hī rahā main ne na dekhā (afsos!) Kaise talvār chalī kaise zamīn kā sīna Ek lamhe ke liye chashme kī mānind banā Dāman-e-koh mein istāda naheen hūn is vaqt Jhāṛiyān silsila-e-koh nahīn parda hain Jis ke us pār jhalaktā nazar ātā hai mujhe Manzar-e-anjān, achhūtī sī dulhan kī sūrat Hān tasavvur ko main ab apne banā kar dulhā Isī parde ke nihān khāne mein le jāūn gā Kaise talvār chalī kaise zamīn kā sīna Dil-e-be-tāb kī mānind taṛap uṭhā thā Ek be-sākhta andāz mein bijlī kī tarah Jal parī goshaa-e-khalvat se nikal āī thī! Zindagi garm thī har būnd mein ābī pāon Khushk patton pe phisalte hue jā pahuñche the! Main bhī maujūd thā ik karmak-e-be-nām-o-nishān Main ne dekhā ke ghaṭā shaq huī dhārā niklī Barq raftārī se ik tīr kamān ne choṛā Aur vo kham khā ke lachaktā huā tharā ke girā Qila-e-koh se girte hue patthar kī tarah Koī bhī rok na thī us ke liye us ke liye Khushk patton kā zamīn par hī bichhā thā bistar Isī bistar pe vo anjān parī leṭ gaī! Aur main karmak-e-be-nām, ghaṭā kī sūrat Isī ummīd mein taktā rahā taktā hī rahā Ab isī vaqt koī jal kī parī ā jāye Bānsurī hāth mein le kar main gwālā ban jāūn Jal parī āye kahān se? Vo isī bistar par Main ne dekhā abhī āsūda huī leṭ gaī Lekin afsos ke main ab bhī khaṛā hūn tanhā Hāth ālūda hai, namdār hai, dhundlī hai nazar, Hāth se āñkhon ke āñsū to nahīn pūnche the!