رقیب
تمہی کو آج مرے روبرو بھی ہونا تھا اور ایسے رنگ میں جس کا کبھی گماں بھی نہ ہو نگاہ تند غضب ناک دل کلام درشت چمن میں جیسے کسی باغباں کی آنکھوں نے روش کے ساتھ ہی ننھے سے ایک پودے کو شگفتہ ہو کے سنورتے نکھرتے دیکھا ہو مری تمہاری کہانی یہی کہانی ہے روش پر سر کو اٹھائے ہر ایک سوچ سے دور میں اپنی دھن میں مگن تھا ہر تازہ قدم مرے افق پہ چمکتے ہوئے ستارے کی ہر اک کرن کو مرے پاس لائے جاتا تھا مجھے نہ خار کا اندیشہ تھا نہ ٹھوکر کا مگر یہ بھول تھی میری وہ خود فراموشی مرے ہی سامنے آئی ہے اور صورت میں نگاہ تند غضب ناک دل کلام درشت مگر اب اس کی ضرورت نہیں میں سوچتا ہوں تمہی کو آج مرے روبرو نہ ہونا تھا جہاں میں اور بھی تھے مجھ سے تم سے بڑھ کے کہیں جو اجنبی تھے جنہیں اجنبی ہی رہنا تھا مجھے کسی نے بتایا ہے آپ کے یہ دوست ہمیشہ رات گئے اپنے گھر کو آتے ہیں لبوں سے سیٹی بجاتے ہیں گنگناتے ہیں کسی کی آہ کسی کے کرم سے مٹتی ہے میں تجھ سے کہتی ہوں بہنا یہ کیا زمانہ ہے نہ اپنے نام کا کچھ پاس ہے نہ گھر کی لاج گئے مہینے سے ہر روز رات کو چھپ کر ہماری بی بی کسی مردوئے سے ملتی ہے مجھے یہ فکر نہیں نوکروں کو عادت ہے کہ پر کو کوا بناتے ہیں رائی کا پربت بس ایک دھیان کسی تیر کی طرح سیدھا یہ سوچ بن کے مرے دل میں آ ٹھہرتا ہے یہی ہے جس کا کبھی نام لاجونتی تھا
English rendering
Tumhī ko āj mere rū-ba-rū bhī honā thā Aur aise rang mein jis kā kabhī gumān bhī na ho Nigāh-e-tand, ghazabnāk, dil kalām-e-durusht Chaman mein jaise kisī bāghbān kī āñkhon ne Ravish ke sāth hī nanhe se ek paude ko Shagufta ho ke sanvarte nikhharte dekhā ho Mirī tumhārī kahānī yahī kahānī hai Ravish par sar ko uṭhāye har ek soch se dūr Main apnī dhun mein magan thā har tāza qadam Mere ufuq pe chamakte hue sitāre kī Har ik kiran ko mere pās lāye jātā thā Mujhe na khār kā āndesha thā na ṭhokar kā Magar ye bhūl thī merī vo khud farāmoshī Mere hī sāmne āī hai aur sūrat mein Nigāh-e-tand, ghazabnāk, dil kalām-e-durusht Magar ab is kī zarūrat nahīn main sochtā hūn Tumhī ko āj mere rū-ba-rū na honā thā Jahān mein aur bhī the mujh se tum se baṛh ke kahīn Jo ajnabī the jinhein ajnabī hī rahnā thā Mujhe kisī ne batāyā hai āp ke ye dost Hamesha raat gaye apne ghar ko āte hain Labon se sīṭī bajāte hain gungunāte hain Kisī kī āh kisī ke karam se miṭtī hai Main tujh se kahtī hūn behnā ye kyā zamāna hai Na apne nām kā kuch pās hai na ghar kī lāj Gaye mahīne se har roz raat ko chhup kar Hamārī bī bī kisī marduaye se miltī hai Mujhe ye fikr nahīn naukrōn ko ādat hai Ke par ko kavvā banāte hain rāī kā parbat Bas ek dhyān kisī tīr kī tarah sīdhā Ye soch ban ke mere dil mein ā ṭhahartā hai Yahī hai jis kā kabhī nām Lājvantī thā