سرسراہٹ
یہاں ان سلوٹوں پر ہاتھ رکھ دوں یہ لہریں ہیں بہی جاتی ہیں اور مجھ کو بہاتی ہیں یہ موج بادہ ہیں ساغر کی خوابیدہ فضا دل میں اچانک جاگ اٹھتی ہے حقیقت کے جہاں سے کوئی اس دنیا میں در آئے تو اس کے ہونٹ متبسم ہوں شاید قہقہہ اٹھ کر مرے دل کو جکڑ لے اپنے ہاتھوں سے مگر میں یہ سمجھتا ہوں کہ یہ لہریں ابھی تک ساحلی منظر سے ناواقف ہیں یوں ہی اک بہانا کر رہی ہیں اک بہانہ کس کو کہتے ہیں بہانے ہی بہانے ہیں بڑھا کر رکھ دیا لہروں پہ میں نے ہاتھ مرا ہاتھ اک کشتی کی مانند ایک موج تند کی افتاد کے جلوے کو مرے سامنے لا کر ہوا ہے گم یہ سب موج تخیل کی روانی تھی مگر میں سوچتا ہوں بات جو کہنے کی تھی میں نے نہ کیوں پہلے ہی کہہ دی وقت کا بے فائدہ مصرف ہر اک پوشیدہ منظر کو اگل ڈالے گا اک لمحہ وہ آئے گا کہ جب اس بات کے سننے پہ سننے والے سوچیں گے بہانہ کیا تھا سلوٹ کیا تھی موج بادہ بھی کیا تھی مگر شب کی اندھیری خلوت گمنام کے پردے میں کھو کر ان کو یہ معلوم ہو جائے گا اک پل میں اور اک لذت کے کیف مختصر میں کھو کے وہ بے ساختہ یہ بات کہہ اٹھیں گے کیا مجھ کو اجازت ہے یہاں ان سلوٹوں پر ہاتھ رکھ دوں یہ جھجک کیسی یہ لہریں ہیں انہیں نسبت ہے کالی رات کے غم ناک دریا سے جو بہتا ہی چلا جاتا ہے رکتا ہی نہیں پل کو جسے کچھ بھی غرض اس سے نہیں میں ہاتھ رکھوں یا جھجک اس ہاتھ کو میرے کلیجے سے لگا دے اور میں سو جاؤں ان لہروں کے بستر میں کلیجے سے لگا دے اور میں سو جاؤں ان لہروں کے بستر میں
English rendering
Yahan in salwaton par haath rakh dun Ye lehrein hain behti jaati hain aur mujh ko bahati hain Ye mauj-e-baada hain sagar ki khwabeeda fiza dil mein Achanak jaag uthti hai Haqeeqat ke jahan se koi is duniya mein dar aaye To us ke hont mutabassim hon shayad qehqaha uth kar Mere dil ko jakad le apne hathon se Magar main ye samajhta hun ke ye lehrein abhi tak saahili manzar se nawaqif hain yun hi ek bahana kar rahi hain ek bahana kis ko kehte hain Bahane hi bahane hain Badha kar rakh diya lehron pe main ne haath mera haath ek kashti ki manind ek mauj-e-tund Ki iftada ke jalwe ko mere samne la kar hua hai gum Ye sab mauj-e-takhayyul ki rawani thi Magar main sochta hun baat jo kehne ki thi main ne na kyun pehle hi keh di waqt ka Be-faida masraf Har ek posheeda manzar ko Ugal daalega ek lamha woh aayega Ke jab is baat ke sunne pe sunne wale sochenge Bahana kya tha salwat kya thi mauj-e-baada bhi kya thi Magar shab ki andheri khilwat-e-gumnam ke parde mein kho kar in ko ye maloom ho jaayega ek pal mein Aur ek lazzat ke kaif-e-mukhtasar mein kho ke woh be-sakhta ye baat keh uthenge kya Mujh ko ijazat hai Yahan in salwaton par haath rakh dun ye jhujak kaisi Ye lehrein hain unhein nisbat hai kaali raat ke ghamnak darya se Jo behta hi chala jaata hai rukta hi nahin pal ko Jise kuch bhi gharaz is se nahin main haath rakhun ya jhujak is haath ko mere Kaleje se laga de aur main so jaaun un lehron ke bistar mein Kaleje se laga de aur main so jaaun un lehron ke bistar mein