میراجی

میراجی

شاعر — Meera Ji

تعارف شاعری

طالب علم

تمہیں معلوم ہے تیمور کی فوجیں جس وقت اپنے دشمن پہ بڑھا کرتی تھیں عورتیں پیچھے رہا کرتی تھیں اور جو عالم تھے فاضل تھے ان انسانوں کا جرگہ سب کے پیچھے پیچھے ہی چلا کرتا تھا کس لیے سب کو رہ زیست پہ ہر گام بڑھانے والے سب سے پیچھے ہی چلا کرتے ہیں علم میں ایک ہی بنیادی کمی ہے ورنہ علم ہر ایک زمانے میں ہر ایک شے سے ترقی پاتا آج اقبال یہ کہتا ہے کہ عورت ہی کا شعلہ وہ جس سے یونان حشر تک علم فلاطون سے رہے گا زندہ آج اسکول میں کالج میں مقام اول عورتوں کے لیے مخصوص کیے جاتے ہیں آج انگریزی پڑھی جاتی ہے جغرافیہ تاریخ ہر اک علم یہاں ایسے استاد سکھاتا ہے کہ جیسے ہم کو یہی معلوم نہیں ہے کہ جو عالم تھے جو فاضل تھے ان انسانوں کا جرگہ سب سے پیچھے پیچھے ہی بڑھا کرتا تھا عورتیں ان سے ذرا آگے رہا کرتی تھیں عورتیں آج بھی آگے ہی رہا کرتی ہیں عورتیں آج بھی کہتی ہیں ہمارے گیسو چاہے بکھرے ہوں کہ ایک جوڑے میں پابند کیے بیٹھے ہوں دیکھنے والوں کی ناکام تمناؤں کو ایک ہی ہاتھ کے پابند ہوا کرتے ہیں وہی اک ہاتھ جو تلوار کو پہلو میں لیے سب سے آگے ہی چلا کرتا ہے اس کو کچھ علم کی پرواہ نہیں (عورت کی بھی پرواہ کیا ہے) اس کو کچھ علم نہیں کیسے فلاطوں پل میں اک شرر بن کے بجھا کرتا ہے سامنے تو ہے مگر تیرا منور چہرہ اسی جاہل کو نظر آتا ہے جو یہ کہتا ہے کہ تیمور کی فوجیں جس وقت اپنے دشمن پہ بڑھا کرتی تھیں عورتیں پیچھے رہا کرتی تھیں اور جو عالم تھے جو فاضل تھے وہ یہ سوچتے تھے ہار کس شخص کی ہے جیت ہے کس کی چھوڑو ہم بھی کن چھوٹی سی باتوں میں الجھ بیٹھے ہیں چلتے چلتے مجھے تیزی سے خیال آیا ہے تیرا یہ جوڑا جو کھل جائے بکھر جائے تو پھر کیا ہوگا میری تاریخ کہ تیری تاریخ پھیل کر آج پہ (اور کل پہ بھی) چھا جائے گی سوچنے والے کو اک پل میں بتا جائے گی عورتیں پیچھے اگر ہوں بھی تو آگے ہی رہا کرتی ہیں اور فلاطوں کا چچا ہاتھ میں تلوار لیے آگے بڑھا کرتا ہے لو وہ جوڑا بھی فلاطوں ہی سے کچھ کہنے لگا اور رستے میں اسے کون ملے گا تیمور اور وہ اس سے کہے گا کہ یہاں کیوں آئی جا مرے پیچھے چلی جا کہ ترے پیچھے ہمیشہ ہر دم علم یوں رینگتے ہی رینگتے بڑھتا جائے جیسے ہر بات کے پیچھے ہر بات رینگتے رینگتے بڑھتی ہی چلی جاتی ہے اور ہر ایک فلاطوں جو شرر بن کے چمکتا ہے وہ مٹ جاتا ہے

— میراجی

English rendering

Tumhein maʿlūm hai Taimūr kī faujein jis vaqt Apne dushman pe baṛhā kartī thīn Auratein pīchhe rahā kartī thīn Aur jo ʿālim the fāzil the un insānon kā jargah sab ke Pīchhe pīchhe hī chalā kartā thā Kis liye sab ko rah-e-zīst pe har gām baṛhāne vāle Sab se pīchhe hī chalā karte hain ʿIlm mein ek hī bunyādī kamī hai varna ʿIlm har ek zamāne mein har ek shai se taraqqī pātā Āj Iqbāl ye kahtā hai ke aurat hī kā shoʿla vo jis se Yūnān Hashr tak ʿilm-e-Aflātūn se rahe gā zinda Āj iskūl mein kālij mein maqām-e-avval Auratōn ke liye makhṣūs kiye jāte hain Āj Angrezī paṛhī jātī hai jughrāfiya tārīkh har ek ʿilm yahān Aise ustād sikhātā hai ke jaise ham ko Yahī maʿlūm nahīn hai ke jo ʿālim the jo fāzil the un insānon kā jargah sab se Pīchhe pīchhe hī baṛhā kartā thā Auratein un se zarā āge rahā kartī thīn Auratein āj bhī āge hī rahā kartī hain Auratein āj bhī kahtī hain hamāre gesū Chāhe bikhre hūn ke ek joṛe mein pāband kiye baiṭhe hūn Dekhne vālon kī nākām tamannāon ko Ek hī hāth ke pāband huā karte hain Vahī ik hāth jo talvār ko pahlu mein liye Sab se āge hī chalā kartā hai Is ko kuch ʿilm kī parvāh nahīn (aurat kī bhī parvāh kyā hai) Is ko kuch ʿilm nahīn kaise Aflātūn pal mein Ik sharar ban ke bujhā kartā hai Sāmne to hai magar terā munavvar chehra Isī jāhil ko nazar ātā hai Jo ye kahtā hai ke Taimūr kī faujein jis vaqt Apne dushman pe baṛhā kartī thīn Auratein pīchhe rahā kartī thīn Aur jo ʿālim the jo fāzil the vo ye sochte the Hār kis shakhṣ kī hai jīt hai kis kī choṛo Ham bhī kin chhoṭī sī bāton mein ulajh baiṭhe hain Chalte chalte mujhe tezī se khayāl āyā hai Terā ye joṛā jo khul jāye bikhar jāye to phir kyā hogā Merī tārīkh ke terī tārīkh Phail kar āj pe (aur kal pe bhī) chhā jāye gī Sochne vāle ko ik pal mein batā jāye gī Auratein pīchhe agar hūn bhī to āge hī rahā kartī hain Aur Aflātūn kā chachā hāth mein talvār liye āge baṛhā kartā hai Lo vo joṛā bhī Aflātūn hī se kuch kahne lagā Aur raste mein use kaun mile gā Taimūr Aur vo us se kahe gā ke yahān kyūn āī Jā mere pīchhe chalī jā ke tere pīchhe hamesha har dam ʿIlm yūn rīngte hī rīngte baṛhtā jāye Jaise har bāt ke pīchhe har bāt Rīngte rīngte baṛhtī hī chalī jātī hai Aur har ek Aflātūn jo sharar ban ke chamaktā hai vo miṭ jātā hai

‹ کلام کی فہرست پر واپس