یگانگت
زمانے میں کوئی برائی نہیں ہے فقط اک تسلسل کا جھولا رواں ہے یہ میں کہہ رہا ہوں میں کوئی برائی نہیں ہوں زمانہ نہیں ہوں تسلسل کا جھولا نہیں ہوں مجھے کیا خبر کیا برائی میں ہے کیا زمانے میں ہے اور پھر میں تو یہ بھی کہوں گا کہ جو شے اکیلی رہے اس کی منزل فنا ہی فنا ہے برائی بھلائی زمانہ تسلسل یہ باتیں بقا کے گھرانے سے آئی ہوئی ہیں مجھے تو کسی بھی گھرانے سے کوئی تعلق نہیں ہے میں ہوں ایک اور میں اکیلا ہوں ایک اجنبی ہوں یہ بستی یہ جنگل یہ بہتے ہوئے رستے اور دریا یہ پربت اچانک نگاہوں میں آتی ہوئی کوئی اونچی عمارت یہ اجڑے ہوئے مقبرے اور مرگ مسلسل کی صورت مجاور یہ ہنستے ہوئے ننھے بچے یہ گاڑی سے ٹکرا کے مرتا ہوا ایک اندھا مسافر ہوائیں نباتات اور آسماں پر ادھر سے ادھر آتے جاتے ہوئے چند بادل یہ کیا ہیں یہی تو زمانہ ہے یہ ایک تسلسل کا جھولا رواں ہے یہ میں کہہ رہا ہوں یہ بستی یہ جنگل یہ رستے یہ دریا یہ پربت عمارت مجاور مسافر ہوائیں نباتات اور آسماں پر ادھر سے ادھر آتے جاتے ہوئے چند بادل یہ سب کچھ یہ ہر شے مرے ہی گھرانے سے آئی ہوئی ہے زمانہ ہوں میں میرے ہی دم سے ان مٹ تسلسل کا جھولا رواں ہے مگر مجھ میں کوئی برائی نہیں ہے یہ کیسے کہوں میں کہ مجھ میں فنا اور بقا دونوں آ کر ملے ہیں
English rendering
Zamāne mein koī burāī nahīn hai Faqat ik tasalsul kā jhūlā ravāñ hai Ye main keh rahā hūn Main koī burāī nahīn hūn zamāna nahīn hūn tasalsul kā jhūlā nahīn hūn Mujhe kyā khabar kyā burāī mein hai kyā zamāne mein hai aur phir main to ye bhī kahūn gā Ke jo shai akelī rahe us kī manzil fanā hī fanā hai Burāī bhalāī zamāna tasalsul ye bātein baqā ke gharāne se āī huī hain Mujhe to kisī bhī gharāne se koī taʿalluq nahīn hai Main hūn ek aur main akelā hūn ek ajnabī hūn Ye bastī ye jangal ye behte hue raste aur daryā Ye parbat achānak nigāhon mein ātī huī koī ūnchī imārat Ye ujṛe hue maqbare aur marg-e-musalsal kī sūrat mujāvir Ye hanste hue nanhe bacche ye gāṛī se ṭakrā ke martā huā ek andhā musāfir Hawaain nabātāt aur āsmān par idhar se udhar āte jāte hue chand bādal Ye kyā hain Yahī to zamāna hai ye ek tasalsul kā jhūlā ravāñ hai Ye main keh rahā hūn Ye bastī ye jangal ye raste ye daryā ye parbat imārat mujāvir musāfir Hawaain nabātāt aur āsmān par idhar se udhar āte jāte hue chand bādal Ye sab kuch ye har shai mere hī gharāne se āī huī hai Zamāna hūn main mere hī dam se un miṭ tasalsul kā jhūlā ravāñ hai Magar mujh mein koī burāī nahīn hai Ye kaise kahūn main Ke mujh mein fanā aur baqā donon ā kar mile hain