عذاب دید میں آنکھیں لہو لہو کر کے
عذاب دید میں آنکھیں لہو لہو کر کے میں شرمسار ہوا تیری جستجو کر کے کھنڈر کی تہ سے بریدہ بدن سروں کے سوا ملا نہ کچھ بھی خزانوں کی آرزو کر کے سنا ہے شہر میں زخمی دلوں کا میلہ ہے چلیں گے ہم بھی مگر پیرہن رفو کر کے مسافت شب ہجراں کے بعد بھید کھلا ہوا دکھی ہے چراغوں کی آبرو کر کے زمیں کی پیاس اسی کے لہو کو چاٹ گئی وہ خوش ہوا تھا سمندر کو آب جو کر کے یہ کس نے ہم سے لہو کا خراج پھر مانگا ابھی تو سوئے تھے مقتل کو سرخ رو کر کے جلوس اہل وفا کس کے در پہ پہنچا ہے نشان طوق وفا زینت گلو کر کے اجاڑ رت کو گلابی بنائے رکھتی ہے ہماری آنکھ تری دید سے وضو کر کے کوئی تو حبس ہوا سے یہ پوچھتا محسنؔ ملا ہے کیا اسے کلیوں کو بے نمو کر کے
English rendering
Azāb dīd meñ āñkheñ lahu lahu kar ke Maiñ sharmsār huā terī justujū kar ke Khanḍar kī teh se burīda badan saroñ ke sivā Milā na kuchh bhī khazānoñ kī ārzū kar ke Sunā hai shahr meñ zakhmi diloñ kā mela hai Chaleñge ham bhī magar pairahan rafū kar ke Masāfat shab-e-hijrāñ ke ba'd bhed khulā Huā dukhī hai chirāġhoñ kī ābrū kar ke Zamīñ kī pyās usī ke lahu ko chāṭ ga.ī Vo khush huā thā samundar ko āb-e-jū kar ke Ye kis ne ham se lahu kā kharāj phir māñgā Abhī to so.e the maqtal ko surḳh-rū kar ke Jalūs-e-ahl-e-vafā kis ke dar pe pahuñchā hai Nishān-e-tauq-e-vafā zeenat-e-galū kar ke Ujāṛ rut ko gulābī banā.e rakhtī hai Hamārī āñkh terī dīd se vazū kar ke Koī to habs-e-havā se ye pūchhtā 'Mohsin' Milā hai kyā use kaliyoñ ko be-namū kar ke