محسن نقوی

محسن نقوی

شاعر — Mohsin Naqvi

تعارف شاعری

لبوں پہ حرف رجز ہے زرہ اتار کے بھی

لبوں پہ حرف رجز ہے زرہ اتار کے بھی میں جشن فتح مناتا ہوں جنگ ہار کے بھی اسے لبھا نہ سکا میرے بعد کا موسم بہت اداس لگا خال و خد سنوار کے بھی اب ایک پل کا تغافل بھی سہہ نہیں سکتے ہم اہل دل کبھی عادی تھے انتظار کے بھی وہ لمحہ بھر کی کہانی کہ عمر بھر میں کہی ابھی تو خود سے تقاضے تھے اختصار کے بھی زمین اوڑھ لی ہم نے پہنچ کے منزل پر کہ ہم پہ قرض تھے کچھ گرد رہ گزار کے بھی مجھے نہ سن مرے بے شکل اب دکھائی تو دے میں تھک گیا ہوں فضا میں تجھے پکار کے بھی مری دعا کو پلٹنا تھا پھر ادھر محسنؔ بہت اجاڑ تھے منظر افق سے پار کے بھی

— محسن نقوی

English rendering

Laboñ pe harf-e-rajaz hai zirah utār ke bhī Maiñ jashn-e-fat.h manātā hūñ jañg hār ke bhī Use lubhā na sakā mere ba'd kā mausam Bahut udās lagā ḳhāl-o-ḳhad sañvār ke bhī Ab ek pal kā taġhāful bhī sah nahīñ sakte Ham ahl-e-dil kabhī 'ādī the intizār ke bhī Vo lamha bhar kī kahānī ki umr bhar meñ kahī Abhī to ḳhud se taqāze the iḳhtisār ke bhī Zamīñ oṛh lī ham ne pahuñch ke manzil par Ki ham pe qaraz the kuchh gard-e-rah-guzār ke bhī Mujhe na sun mere be-shakl ab dikhā.ī to de Maiñ thak gayā hūñ fazā meñ tujhe pukār ke bhī Merī du'ā ko palaṭnā thā phir idhar 'Mohsin' Bahut ujāṛ the manzar ufuq se pār ke bhī

‹ کلام کی فہرست پر واپس