میں چپ رہا کہ زہر یہی مجھ کو راس تھا
میں چپ رہا کہ زہر یہی مجھ کو راس تھا وہ سنگ لفظ پھینک کے کتنا اداس تھا اکثر مری قبا پہ ہنسی آ گئی جسے کل مل گیا تو وہ بھی دریدہ لباس تھا میں ڈھونڈھتا تھا دور خلاؤں میں ایک جسم چہروں کا اک ہجوم مرے آس پاس تھا تم خوش تھے پتھروں کو خدا جان کے مگر مجھ کو یقین ہے وہ تمہارا قیاس تھا بخشا ہے جس نے روح کو زخموں کا پیرہن محسنؔ وہ شخص کتنا طبیعت شناس تھا
English rendering
Maiñ chup rahā ki zahr yahī mujh ko raas thā Vo sang-e-lafz pheñk ke kitnā udās thā Aksar merī qabā pe hañsī ā ga.ī jise Kal mil gayā to vo bhī darīda libās thā Maiñ ḍhūñḍhtā thā dūr ḳhalāoñ meñ ek jism Chehroñ kā ik hujūm mere ās pās thā Tum ḳhush the pattharoñ ko ḳhudā jān ke magar Mujh ko yaqīn hai vo tumhārā qayās thā Baḳhshā hai jis ne ruuh ko zaḳhmoñ kā pairahan 'Mohsin' vo shaḳhs kitnā tabī'at-shanās thā