میں دل پہ جبر کروں گا تجھے بھلا دوں گا
میں دل پہ جبر کروں گا تجھے بھلا دوں گا مروں گا خود بھی تجھے بھی کڑی سزا دوں گا یہ تیرگی مرے گھر کا ہی کیوں مقدر ہو میں تیرے شہر کے سارے دیئے بجھا دوں گا ہوا کا ہاتھ بٹاؤں گا ہر تباہی میں ہرے شجر سے پرندے میں خود اڑا دوں گا وفا کروں گا کسی سوگوار چہرے سے پرانی قبر پہ کتبہ نیا سجا دوں گا اسی خیال میں گزری ہے شام درد اکثر کہ درد حد سے بڑھے گا تو مسکرا دوں گا تو آسمان کی صورت ہے گر پڑے گا کبھی زمیں ہوں میں بھی مگر تجھ کو آسرا دوں گا بڑھا رہی ہیں مرے دکھ نشانیاں تیری میں تیرے خط تری تصویر تک جلا دوں گا بہت دنوں سے مرا دل اداس ہے محسنؔ اس آئنے کو کوئی عکس اب نیا دوں گا
English rendering
Maiñ dil pe jabr karūñgā tujhe bhulā dūñgā Marūñgā ḳhud bhī tujhe bhī kaṛī sazā dūñgā Ye tīrgī mere ghar kā hī kyuñ muqaddar ho Maiñ tere shahr ke sāre diye bujhā dūñgā Havā kā hāth baTā.ūñgā har tabāhī meñ Hare shajar se parinde maiñ ḳhud uṛā dūñgā Vafā karūñgā kisī sogvār chehre se Purānī qabr pe kutba nayā sajā dūñgā Isī ḳhayāl meñ guzrī hai shām-e-dard aksar Ki dard had se baṛhe gā to muskurā dūñgā Tū āsmān kī sūrat hai gir paṛe gā kabhī Zamīñ hūñ maiñ bhī magar tujh ko āsrā dūñgā Baṛhā rahī haiñ mere dukh nishāniyāñ terī Maiñ tere ḳhat terī tasvīr tak jalā dūñgā Bahut dinoñ se merā dil udās hai 'Mohsin' Us ā.īne ko koī aks ab nayā dūñgā