میں کل تنہا تھا خلقت سو رہی تھی
میں کل تنہا تھا خلقت سو رہی تھی مجھے خود سے بھی وحشت ہو رہی تھی اسے جکڑا ہوا تھا زندگی نے سرہانے موت بیٹھی رو رہی تھی کھلا مجھ پر کہ میری خوش نصیبی مرے رستے میں کانٹے بو رہی تھی مجھے بھی نارسائی کا ثمر دے مجھے تیری تمنا جو رہی تھی مرا قاتل مرے اندر چھپا تھا مگر بد نام خلقت ہو رہی تھی بغاوت کر کے خود اپنے لہو سے غلامی داغ اپنے دھو رہی تھی لبوں پر تھا سکوت مرگ لیکن مرے دل میں قیامت سو رہی تھی بجز موج فنا دنیا میں محسنؔ ہماری جستجو کس کو رہی تھی
English rendering
Maiñ kal tanhā thā ḳhalqat so rahī thī Mujhe ḳhud se bhī vahshat ho rahī thī Use jakṛā huā thā zindagī ne Sirhāne maut baiThī ro rahī thī Khulā mujh par ki merī ḳhush-nasībī Mere raste meñ kāñTe bo rahī thī Mujhe bhī nārāsā.ī kā samar de Mujhe terī tamannā jo rahī thī Merā qātil mere andar chhupā thā Magar badnām ḳhalqat ho rahī thī Baġāvat kar ke ḳhud apne lahu se Gulāmī dāġh apne dho rahī thī Laboñ par thā sukūt-e-marg lekin Mere dil meñ qayāmat so rahī thī Bajuz mauj-e-fanā dunyā meñ 'Mohsin' Hamārī justujū kis ko rahī thī