سانسوں کے اس ہنر کو نہ آساں خیال کر
سانسوں کے اس ہنر کو نہ آساں خیال کر زندہ ہوں ساعتوں کو میں صدیوں میں ڈھال کر مالی نے آج کتنی دعائیں وصول کیں کچھ پھول اک فقیر کی جھولی میں ڈال کر کل یوم ہجر زرد زمانوں کا یوم ہے شب بھر نہ جاگ مفت میں آنکھیں نہ لال کر اے گرد باد لوٹ کے آنا ہے پھر مجھے رکھنا مرے سفر کی اذیت سنبھال کر محراب میں دیے کی طرح زندگی گزار منہ زور آندھیوں میں نہ خود کو نڈھال کر شاید کسی نے بخل زمیں پر کیا ہے طنز گہرے سمندروں سے جزیرے نکال کر یہ نقد جاں کہ اس کا لٹانا تو سہل ہے گر بن پڑے تو اس سے بھی مشکل سوال کر محسنؔ برہنہ سر چلی آئی ہے شام غم غربت نہ دیکھ اس پہ ستاروں کی شال کر
English rendering
Sāñsoñ ke is hunar ko na āsāñ ḳhayāl kar Zinda hūñ sā'atoñ ko maiñ sadiyoñ meñ ḍhāl kar Mālī ne āj kitnī du'ā.eñ vasūl kīñ Kuchh phuul ik faqīr kī jholī meñ ḍāl kar Kal yaum-e-hijr zard zamānoñ kā yaum hai Shab bhar na jāg muft meñ āñkheñ na lāl kar Ai gard-bād lauṭ ke ānā hai phir mujhe Rakhnā mere safar kī aziyat sambhāl kar Mehrāb meñ diye kī tarah zindagī guzār Muñh-zor āñdhiyoñ meñ na ḳhud ko niḍhāl kar Shāyad kisī ne buḳhl-e-zamīñ par kiyā hai tanz Gahre samundaroñ se jazīre nikāl kar Ye naqd-e-jāñ ki us kā luTānā to sahal hai Gar ban paṛe to us se bhī mushkil savāl kar 'Mohsin' barahna sar chalī aa.ī hai shām-e-ġham Ghurbat na dekh is pe sitāroñ kī shāl kar