ترے بدن سے جو چھو کر ادھر بھی آتا ہے
ترے بدن سے جو چھو کر ادھر بھی آتا ہے مثال رنگ وہ جھونکا نظر بھی آتا ہے تمام شب جہاں جلتا ہے اک اداس دیا ہوا کی راہ میں اک ایسا گھر بھی آتا ہے وہ مجھ کو ٹوٹ کے چاہے گا چھوڑ جائے گا مجھے خبر تھی اسے یہ ہنر بھی آتا ہے اجاڑ بن میں اترتا ہے ایک جگنو بھی ہوا کے ساتھ کوئی ہم سفر بھی آتا ہے وفا کی کون سی منزل پہ اس نے چھوڑا تھا کہ وہ تو یاد ہمیں بھول کر بھی آتا ہے جہاں لہو کے سمندر کی حد ٹھہرتی ہے وہیں جزیرۂ لعل و گہر بھی آتا ہے چلے جو ذکر فرشتوں کی پارسائی کا تو زیر بحث مقام بشر بھی آتا ہے ابھی سناں کو سنبھالے رہیں عدو میرے کہ ان صفوں میں کہیں میرا سر بھی آتا ہے کبھی کبھی مجھے ملنے بلندیوں سے کوئی شعاع صبح کی صورت اتر بھی آتا ہے اسی لیے میں کسی شب نہ سو سکا محسنؔ وہ ماہتاب کبھی بام پر بھی آتا ہے
English rendering
Tere badan se jo chhū kar idhar bhī aatā hai Misāl-e-rañg vo jhoñkā nazar bhī aatā hai Tamām shab jahāñ jaltā hai ik udās diyā Havā kī rāh meñ ik aisā ghar bhī aatā hai Vo mujh ko tūṭ ke chāhegā chhoṛ jā.egā Mujhe ḳhabar thī use ye hunar bhī aatā hai Ujāṛ ban meñ utartā hai ek jugnū bhī Havā ke sāth koī ham-safar bhī aatā hai Vafā kī kaun sī manzil pe us ne chhoṛā thā Ki vo to yād hameñ bhūl kar bhī aatā hai Jahāñ lahu ke samundar kī had Thahartī hai Vahīñ jazīra la'l o gauhar bhī aatā hai Chale jo zikr-e-farishtoñ kī pārsā.ī kā To zer-e-bahs maqām-e-bashar bhī aatā hai Abhī sanāñ ko sambhāle raheñ adū mere Ki un safoñ meñ kahīñ merā sar bhī aatā hai Kabhī kabhī mujhe milne bulandiyoñ se koī Shu'ā'-e-sub.h kī sūrat utar bhī aatā hai Isī liye maiñ kisī shab na so sakā 'Mohsin' Vo māhtāb kabhī bām par bhī aatā hai