اجڑ اجڑ کے سنورتی ہے تیرے ہجر کی شام
اجڑ اجڑ کے سنورتی ہے تیرے ہجر کی شام نہ پوچھ کیسے گزرتی ہے تیرے ہجر کی شام یہ برگ برگ اداسی بکھر رہی ہے مری کہ شاخ شاخ اترتی ہے تیرے ہجر کی شام اجاڑ گھر میں کوئی چاند کب اترتا ہے سوال مجھ سے یہ کرتی ہے تیرے ہجر کی شام مرے سفر میں اک ایسا بھی موڑ آتا ہے جب اپنے آپ سے ڈرتی ہے تیرے ہجر کی شام بہت عزیز ہیں دل کو یہ زخم زخم رتیں انہی رتوں میں نکھرتی ہے تیرے ہجر کی شام یہ میرا دل یہ سراسر نگارخانۂ غم سدا اسی میں اترتی ہے تیرے ہجر کی شام جہاں جہاں بھی ملیں تیری قربتوں کے نشاں وہاں وہاں سے ابھرتی ہے تیرے ہجر کی شام یہ حادثہ تجھے شاید اداس کر دے گا کہ میرے ساتھ ہی مرتی ہے تیرے ہجر کی شام
English rendering
Ujaṛ ujaṛ ke sañvartī hai tere hijr kī shām Na pūchh kaise guzartī hai tere hijr kī shām Ye barg barg udāsī bikhar rahī hai merī Ki shāḳh shāḳh utartī hai tere hijr kī shām Ujāṛ ghar meñ koī chāñd kab utartā hai Savāl mujh se ye kartī hai tere hijr kī shām Mere safar meñ ik aisā bhī moṛ aatā hai Jab apne aap se ḍartī hai tere hijr kī shām Bahut azīz haiñ dil ko ye zaḳhm zaḳhm riteñ Inhī ritoñ meñ nikhartī hai tere hijr kī shām Ye merā dil ye sarāsar nigār-ḳhāna-e-ġham Sadā isī meñ utartī hai tere hijr kī shām Jahāñ jahāñ bhī mileñ terī qurbatoñ ke nishāñ Vahāñ vahāñ se ubhartī hai tere hijr kī shām Ye hādsa tujhe shāyad udās kar de gā Ki mere sāth hī martī hai tere hijr kī shām