دل پکارا پھنس کے کوئے یار میں
دل پکارا پھنس کے کوئے یار میں روک رکھا ہے مجھے گل زار میں فرق کیا مقتل میں اور گل زار میں ڈھال میں ہیں پھول پھل تلوار میں لطف دنیا میں نہیں تکرار میں لیکن ان کے بوسۂ رخسار میں تھا جو شب کو سایۂ رخسار میں تازگی کتنی ہے باسی ہار میں فرط مایوسی نے مردہ حسرتیں دفن کر دی ہیں دل بیمار میں شاد ہو جاتی ہے دنیا اے روپے کیا کرامت ہے تری جھنکار میں آتش الفت کی دھڑکن بڑھ گئی گر پڑا دل شعلۂ رخسار میں آہ کے قبضہ میں ہے تاثیر یا تیغ ہے دست علمبردار میں نشتر مژگاں کی تیزی کے سبب ایک کانٹا ہے دل پر خار میں آب پیکاں پاس ہے لیکن نصیب پھر بھی خشکی ہے لب سوفار میں خیر ہو پرویںؔ دل مضطر مرا لے چلا پھر کوچۂ دل دار میں
English rendering
Dil pukārā phañs ke kū-e-yār mein Rok rakhā hai mujhe gulzār mein Farq kyā maqtal mein aur gulzār mein Ḍhāl mein haiñ phūl phal talvār mein Lutf duniyā mein nahīñ takrār mein Lekin un ke bosa-e-ruḳhsār mein Thā jo shab ko sāyā-e-ruḳhsār mein Tāzgī kitnī hai bāsī hār mein Fart-e-māyūsī ne murda hasrateñ Dafn kar dī haiñ dil-e-bīmār mein Shād ho jātī hai duniyā ai rūpaye Kyā karāmat hai tirī jhānkār mein Ātish-e-ulfat kī dhaṛkan baṛh ga.ī Gir paṛā dil sho.ala-e-ruḳhsār mein Āh ke qabza mein hai tā.sīr yā Tegh hai dast-e-alam-bardār mein Nishtar-e-mizh.gāñ kī tezī ke sabab Ek kāñṭā hai dil par ḳhār mein Āb-e-paikāñ paas hai lekin nasīb Phir bhī ḳhushkī hai lab-e-sūfār mein Khair ho Parvīn dil-e-muztar mirā Le chalā phir kūcha-e-dildār mein