غریب آدمی کو ٹھاٹ پادشاہی کا
غریب آدمی کو ٹھاٹ پادشاہی کا یہ پیش خیمہ ہے ظالم تری تباہی کا خدنگ آہ کو روکے رہا ہوں فرقت میں خیال ہے مجھے افلاک کی تباہی کا امید کیسے ہو محشر میں سرخ روئی کی ہمیشہ کام کیا ہو جو رو سیاہی کا سلام تک نہیں لیتے کلام تو کیسا فقیری میں بھی تبختر ہے بادشاہی کا شکست و فتح کا ذمہ نہیں دل ناداں لڑے ہزار میں یہ کام ہے سپاہی کا خضاب کرتے ہیں دنیا سے جب گئے گزرے شگون کرتے ہیں پیری میں رو سیاہی کا نہ آسماں کی عنایت نہ مہرباں وہ شوخ نہ پوچھو حال غریبوں کی بے پناہی کا سفید بالوں پہ کس واسطے خضاب لگائیں گیا زمانہ جوانی میں رو سیاہی کا خطائیں ہو گئیں معدوم حج سے اے پرویںؔ گواہ خود ہے خدا میری بے گناہی کا
English rendering
Gharīb ādmī ko ṭhāṭ bādshāhī kā Ye pesh-ḳhaima hai zālim tirī tabāhī kā Khadang-e-āh ko roke rahā hūñ furqat mein Khayāl hai mujhe aflāk kī tabāhī kā Ummīd kaise ho mahshar mein surḳh-rūī kī Hamīsha kām kiyā ho jo rū-siyāhī kā Salām tak nahīñ lete kalām to kaisā Faqīrī mein bhī tabaḳhtur hai bādshāhī kā Shikast-o-fatḥ kā zimma nahīñ dil-e-nādāñ Laṛe hazār mein ye kām hai sipāhī kā Khizāb karte haiñ duniyā se jab ga.e guzre Shugūn karte haiñ pīrī mein rū-siyāhī kā Na āsmāñ kī ināyat na meherbāñ vo shoḳh Na pūchho hāl gharīboñ kī be-panāhī kā Safed bāloñ pe kis vāste khizāb lagā.eñ Gayā zamāna javānī mein rū-siyāhī kā Khatā.eñ ho ga.īñ ma.adūm hajj se ai Parvīn Gavāh ḳhud hai ḳhudā merī be-gunāhī kā