کھلایا پرتو رخسار نے کیا گل سمندر میں
کھلایا پرتو رخسار نے کیا گل سمندر میں حباب آ کر بنے ہر سمت سے بلبل سمندر میں ہمارے آہ و نالہ سے زمانہ ہے تہ و بالا کبھی ہے شور صحرا میں کبھی ہے غل سمندر میں کسی دن مجھ کو لے ڈوبے گا ہجر یار کا صدمہ چراغ ہستیٔ موہوم ہوگا گل سمندر میں نہ چھیڑو مجھ کو میں غواص ہوں دریائے معنی کا نہ ڈھونڈو مجھ کو مستغرق ہوں میں بالکل سمندر میں تمہیں دریائے خوبی کہہ دیا غرق ندامت ہوں کہاں یہ ناز و غمزہ عارض و کاکل سمندر میں پڑا تھا عکس روئے نازنیں عرصہ ہوا اس کو پر اب تک تیرتا پھرتا ہے شکل گل سمندر میں اٹھی موج صبا جنباں سے شاخ آشیاں پیہم چلی جاتی ہے گویا کشتی بلبل سمندر میں وہ پائیں باغ میں پھرتے ہیں میں فکروں میں ڈوبا ہوں تماشا ہے کہ گل گلشن میں ہے بلبل سمندر میں ابھی تو سیر کو جانا لب دریا وہ سیکھے ہیں ابھی تو دیکھیے کھلتے ہیں کیا کیا گل سمندر میں خیال یار کیوں کر آ گیا طوفان گریہ میں خدا معلوم کس شے کا بنایا پل سمندر میں کبھی گریہ کا طوفاں ہے کبھی حیرت کا سناٹا کبھی بالکل ہوں صحرا میں کبھی بالکل سمندر میں وہ ظالم عاشق آزاری کی پرویںؔ مشق کرتا ہے دکھا کر بلبلوں کو ڈالتا ہے گل سمندر میں
English rendering
Khilāyā partav-e-ruḳhsār ne kyā gul samundar mein Habāb ā kar bane har samt se bulbul samundar mein Hamāre āh-o-nāla se zamāna hai tah-o-bālā Kabhī hai shor sahrā mein kabhī hai ghul samundar mein Kisī din mujh ko le ḍūbe gā hijr-e-yār kā sadma Chirāgh-e-hastī-e-mauhūm hogā gul samundar mein Na chheṛo mujh ko maiñ ghāvās hūñ dariyā-e-ma.anī kā Na ḍhūñḍho mujh ko mustaghriq hūñ maiñ bilkul samundar mein Tumheñ dariyā-e-ḳhūbī kah diyā gharq-e-nadāmat hūñ Kahāñ ye nāz-o-ghamza āriz-o-kākūl samundar mein Paṛā thā aks-e-rū-e-nāzanīñ arsa huā us ko Par ab tak tertā phirtā hai shakl-e-gul samundar mein Uṭhī mauj-e-sabā junbishāñ se shāḳh-e-āshiyāñ paiham Chalī jātī hai goyā kashtī bulbul samundar mein Vo pā.eñ bāgh mein phirte haiñ maiñ fikroñ mein ḍūbā hūñ Tamāsha hai ki gul gulshan mein hai bulbul samundar mein Abhī to sair ko jānā lab-e-dariyā vo sīkhe haiñ Abhī to dekhiye khulte haiñ kyā kyā gul samundar mein Khayāl-e-yār kyūñ kar ā gayā tūfān-e-girya mein Khūdā ma.alūm kis shai kā banāyā pul samundar mein Kabhī girya kā tūfān hai kabhī hairat kā sannāṭa Kabhī bilkul hūñ sahrā mein kabhī bilkul samundar mein Vo zālim āshiq āzārī kī Parvīn mashq kartā hai Dikhā kar bulbuloñ ko ḍāltā hai gul samundar mein