پروین ام مشتاق

پروین ام مشتاق

شاعر — Parveen Umm-E Mushtaq

تعارف شاعری

ہجر میں غم کی چڑھائی ہے الٰہی توبہ

ہجر میں غم کی چڑھائی ہے الٰہی توبہ کیا نصیبے کی برائی ہے الٰہی توبہ کتنے کانوں کے وہ کچے ہیں کہ اللہ کی پناہ کیا رقیبوں کی بن آئی ہے الٰہی توبہ نالہ ہو آہ ہو فریاد ہو یا زاری ہو یار تک سب کی رسائی ہے الٰہی توبہ ہو چکا قتل جہاں تیغ بھی اٹھنے کی نہیں کس قدر نرم کلائی ہے الٰہی توبہ شیخ صاحب بھی نہیں بچ کے یہاں سے نکلے کس قدر ان کو پلائی ہے الٰہی توبہ دل لگی آپ سے کی خلق میں بدنام ہوئے نیک نامی یہ کمائی ہے الٰہی توبہ چاہ کر تم کو بھلا اور کو کیوں کر چاہوں واہ کیا دل میں سمائی ہے الٰہی توبہ لے گئے چھین کے دل میل نہیں چتون پر کتنی دیدہ میں صفائی ہے الٰہی توبہ بوسہ مانگا تو کہا شکر خدا اچھا ہوں بات کیا جلد اڑائی ہے الٰہی توبہ نہیں معلوم کہ کس شخص کا منہ دیکھا ہے آج پھر غم کی چڑھائی ہے الٰہی توبہ کوچۂ عشق کی سچ پوچھو تو ہم نے پرویںؔ کس قدر خاک اڑائی ہے الٰہی توبہ

— پروین ام مشتاق

English rendering

Hijr mein gham ki chaṛhāī hai ilāhī tauba Kyā nasībe kī burāī hai ilāhī tauba Kitne kānoñ ke vo kachche haiñ ki Allāh kī panāh Kyā raqīboñ kī ban aaī hai ilāhī tauba Nāla ho āh ho faryād ho yā zārī ho Yār tak sab kī rasāī hai ilāhī tauba Ho chukā qatl jahāñ tegh bhī uṭhne kī nahīñ Kis qadar narm kalāī hai ilāhī tauba Shaikh sāhab bhī nahīñ bach ke yahāñ se nikle Kis qadar un ko pilāī hai ilāhī tauba Dil lagī aap se kī khalq mein badnām hue Nek nāmī ye kamāī hai ilāhī tauba Chāh kar tum ko bhalā aur ko kyūñ kar chāhūñ Wāh kyā dil mein samāī hai ilāhī tauba Le ga.e chhīn ke dil mail nahīñ chitvan par Kitnī dīda mein safāī hai ilāhī tauba Bosa māñgā to kahā shukr ḳhudā achchhā hūñ Baat kyā jald uṛāī hai ilāhī tauba Nahīñ ma.lūm ki kis shaḳhs kā muñh dekhā hai Āj phir gham kī chaṛhāī hai ilāhī tauba Kūcha-e-ishq kī sach pūchho to ham ne Parvīn Kis qadar ḳhāk uṛāī hai ilāhī tauba

‹ کلام کی فہرست پر واپس