جس طرح دو جہاں میں خدا کا نہیں شریک
جس طرح دو جہاں میں خدا کا نہیں شریک تیرے جمال میں نہیں کوئی حسیں شریک میں بھی ترا فدائی ہوں مجھ پہ بھی رحم کھا جب تک ہے اس گمان میں کچھ کچھ یقیں شریک اس کے ستم ہی کم ہیں جو اوروں کا نام لوں ہے آسماں شریک نہ اس میں زمیں شریک روز جزا امید ہے سب کو سزا ملے اقدام قتل میں ہیں مرے سب حسیں شریک اے بدر تیرا دعویٔ یکتائی سب غلط جملہ صفات میں ہے ترے وہ جبیں شریک سچ پوچھئے تو جان جہاں میرے قتل میں ترچھی نظر کے ساتھ ہی چین جبیں شریک واعظ تو باغ حسن کی اک بار سیر کر ممکن ہے دل کشی میں ہو خلد بریں شریک کیا وجہ تیرے ظلم و ستم میں مزا نہیں اے دور چرخ آج وہ شاید نہیں شریک بھیجا پیام جلسہ تو انداز سے کہا عرصہ ہوا کہ ہم نہیں ہوتے کہیں شریک پرویںؔ غلط ہے ان کو سمجھنا جدا جدا ہیں جسم و جاں کی طرح سے دنیا و دیں شریک
English rendering
Jis tarah do jahāñ mein ḳhudā kā nahīñ sharīk Tere jamāl mein nahīñ koī hasīñ sharīk Maiñ bhī tirā fidāī hūñ mujh pe bhī rahm khā Jab tak hai is gumān mein kuchh kuchh yaqīñ sharīk Us ke sitam hī kam haiñ jo auroñ kā nām lūñ Hai āsmāñ sharīk na is mein zamīñ sharīk Roz-e-jazā ummīd hai sab ko sazā mile Iqdām-e-qatl mein haiñ mere sab hasīñ sharīk Ai Badr terā da.avā-e-yaktāī sab ghalat Jumla sifāt mein hai tere vo jabīñ sharīk Sach pūchhie to jān-e-jahāñ mere qatl mein Tirchhī nazar ke sāth hī cīn-e-jabīñ sharīk Vā.iz tū bāgh-e-husn kī ik bār sair kar Mumkin hai dilkashī mein ho ḳhuld-e-barīñ sharīk Kyā vajah tere zulm-o-sitam mein mazā nahīñ Ai daur-e-charḳh āj vo shāyad nahīñ sharīk Bhejā payām-e-jalsa to andāz se kahā Arsa huā ki ham nahīñ hote kahīñ sharīk Parvīn ghalat hai un ko samajhnā judā judā Haiñ jism-o-jāñ kī tarah se duniyā-o-dīñ sharīk