نرگسیں آنکھ بھی ہے ابروئے خم دار کے پاس
نرگسیں آنکھ بھی ہے ابروئے خم دار کے پاس دوسری اور بھی تلوار ہے تلوار کے پاس دشمنوں کا مری قسمت سے ہے قابو مجھ پر یار کے پاس ہے دل یار ہے اغیار کے پاس یاد رکھنا جو ہوئی وعدہ خلافی ان کی بسترہ آن جمے گا تری دیوار کے پاس قیدیٔ زلف کی قسمت میں ہے رخسار کی سیر شکر ہے باغ بھی ہے مرغ گرفتار کے پاس چہرہ بھی برق بھی دل لینے میں گیسو بھی بلا ایک سا معجزہ ہے کافر و دیں دار کے پاس غیر بے جرم ہیں اور میں ہوں وفا کا مجرم کون آتا بھلا مجھ سے گنہ گار کے پاس قبر میں سوئیں گے آرام سے اب بعد فنا آئے گا خواب عدم دیدۂ بے دار کے پاس اس کی کیا وجہ مرے ہوتے وہاں کیوں نہ رہیں کیوں رہے زلف سیہ آپ کے رخسار کے پاس ہوشیاری سے ہو پرویںؔ چمن حسن کی سیر دام اور دانہ ہیں دونوں رخ دل دار کے پاس
English rendering
Nargisīñ āñkh bhī hai abrue-ḳhamdār ke paas Dūsrī aur bhī talvār hai talvār ke paas Dushmanōñ kā mirī qismat se hai qābū mujh par Yār ke paas hai dil yār hai aghyār ke paas Yād rakhnā jo huī va.ada-ḳhilāfī un kī Bistara ān jamegā tirī dīvār ke paas Qaidi-e-zulf kī qismat mein hai ruḳhsār kī sair Shukr hai bāgh bhī hai murgh-e-giriftār ke paas Chehra bhī barq bhī dil lene mein gīsū bhī balā Ek sā mo.ajiza hai kāfir-o-dīñdār ke paas Ghīr be-jurm haiñ aur maiñ hūñ vafā kā mujrim Kaun ātā bhalā mujh se gunahgār ke paas Qabr mein so.eñge ārām se ab ba.ad-e-fanā Ā.e ga ḳhvāb-e-adam dīda-e-bedār ke paas Is kī kyā vajah mire hote vahāñ kyūñ na raheñ Kyūñ rahe zulf-e-siyah aap ke ruḳhsār ke paas Hoshiyārī se ho Parvīn chaman-e-husn kī sair Dām aur dāna haiñ donoñ ruḳh-e-dildār ke paas