ان سے ہر وقت مری آنکھ لڑی رہتی ہے
ان سے ہر وقت مری آنکھ لڑی رہتی ہے کیا لڑاکا ہے کہ لڑنے پہ اڑی رہتی ہے دیکھ کر وقت کے مقتل میں مری شان ورود ڈر میں قاتل ہی نہیں موت کھڑی رہتی ہے تیری تصویر مرے دل میں نگینے کی طرح جگمگاتی ہے چمکتی ہے جڑی رہتی ہے لوگ سچ کہتے ہیں پامال محبت مجھ کو میری چاہت ترے قدموں میں پڑی رہتی ہے آفتیں لاکھ ہوں دیکھا نہ کبھی چہرۂ یاس مجھ کو اللہ سے امید بڑی رہتی ہے جو کبھی خون شہیداں سے حنا بند رہے اب انہیں پھول سے ہاتھوں میں چھڑی رہتی ہے یوں نہ اترا کہ جوانی بھی ہے آنی جانی چاندنی چاند کی دو چار گھڑی رہتی ہے گریۂ چشم کا الفت میں یہ عالم ہے نصیرؔ کوئی موسم بھی ہو ساون کی جھڑی رہتی ہے
English rendering
Un se har waqt meri aankh ladi rehti hai Kya ladaka hai ke ladne pe adi rehti hai Dekh kar waqt ke maqtal mein meri shaan-e-wurood Dar mein qaatil hi nahin maut khadi rehti hai Teri tasveer mere dil mein nageene ki tarah Jagmagaati hai chamakti hai jadi rehti hai Log sach kehte hain paemaal-e-mohabbat mujh ko Meri chahat tere qadmon mein padi rehti hai Aafatein laakh hon dekha na kabhi chehra-e-yaas Mujh ko Allah se umeed badi rehti hai Jo kabhi khoon-e-shaheedan se hina band rahe Ab unhein phool se haathon mein chhadi rehti hai Yun na itra ke jawani bhi hai aani jaani Chandni chand ki do chaar ghadi rehti hai Girya-e-chashm ka ulfat mein yeh alam hai Naseer! Koi mausam bhi ho saawan ki jhadi rehti hai