اجنبی لمحے
ہوا کے دوش پر اڑتے ہوئے یہ اجنبی لمحے کہیں ایسا نہ ہو پرچھائیاں دے کر گزر جائیں ہمیں ڈستی ہوئی تنہائیاں دے کر گزر جائیں ڈھلک جاتا ہے اک اک پل پہ سر سے ریشمی آنچل کلائی میں سنہری چوڑیاں کھنکائی جاتی ہیں چٹک اٹھتی ہوں جیسے نرم کلیاں شاخساروں پر حنائی انگلیاں اس ناز سے چٹخائی جاتی ہیں نشہ سا بھر دیا آنکھوں میں شرم اجنبیت نے ادائیں اور زیادہ خوب صورت ہوتی جاتی ہیں تعارف بے تعارف ہو چکا آؤ ہنسیں بولیں کہ اب خاموشیاں بڑھ کر قیامت ہوتی جاتی ہیں ملاقاتوں کے دامن میں تبسم بھی ہے آنسو بھی قرار جاں میسر ہو کہ زخم دل ملے ہم کو اڑے جاتے ہیں پر تولے ہوئے یہ اجنبی لمحے خدا معلوم کس عالم میں مستقبل ملے ہم کو مجھے تم اجنبی کہہ لو تمہیں میں اجنبی کہہ لوں مگر اپنائیت کے تانے بانے بن رہا ہوں میں مری خاموش نظروں کے تقاضے تم پہ واضح ہیں تمہارے مرتعش ہونٹوں کے نغمے سن رہا ہوں میں تمنا کے یہ لمحے جن میں گیرائی ہے صدیوں کی ہماری روح کی خلوت سرا سے ہو کے آئے ہیں زباں کھولو کہو میں ان حسیں لمحوں سے کیا کہہ دوں یہ لمحے پوچھتے ہیں کیا ابھی تک ہم پرائے ہیں ہوا کے دوش پر اڑتے ہوئے یہ اجنبی لمحے
English rendering
Havā ke dosh par uṛte hu'e yeh ajnabī lamhe Kahīñ aisā na ho parchhāiyāñ de kar guzar jāeñ Hameñ ḍastī huī tanhāiyāñ de kar guzar jāeñ Ḍhalak jātā hai ik ik pal pe sar se reshmī āñchal Kalāī mein sunahrī choṛiyāñ khankāī jātī hain Chaṭak uṭhtī hoñ jaise narm kaliyāñ shākhsāroñ par Hināī uñgliyāñ is nāz se chaṭkhāī jātī hain Nasha sā bhar diyā āñkhoñ mein sharm ajnabiyat ne Adā'eñ aur ziyāda khūbsūrat hotī jātī hain Ta'āruf be-ta'āruf ho chukā aao hanseñ boleñ Ki ab khāmoshiyāñ baṛh kar qayāmat hotī jātī hain Mulāqātoñ ke dāman mein tabassum bhī hai āñsū bhī Qarār-e-jāñ muyassar ho ki zakhm-e-dil mile ham ko Uṛe jāte hain par tole hu'e yeh ajnabī lamhe Khudā ma'lūm kis ālam mein mustaqbil mile ham ko Mujhe tum ajnabī kah lo tumheñ main ajnabī kah loon Magar apnā'iyat ke tāne bāne bun rahā hūñ main Mirī khāmosh nazroñ ke taqāze tum pe wāzeh hain Tumhāre murta'ish hoñṭoñ ke naghme sun rahā hūñ main Tamannā ke yeh lamhe jin mein gehrāī hai sadiyoñ kī Hamārī rūh kī khilvat sarā se ho ke ā'e hain Zubāñ kholo kaho main un hasīn lamhoñ se kya kah dūñ Yeh lamhe pūchhte hain kya abhī tak ham parā'e hain Havā ke dosh par uṛte hu'e yeh ajnabī lamhe