ایک لمحہ
میں اپنی زندگی سے ایک لمحے کا سوالی ہوں وہ لمحہ جو مرے نغموں کو چھو کر جاوداں کر دے مرے دل کو جگا دے روح کے شعلے جواں کر دے نہ آنکھوں میں کوئی صورت نہ کوئی نام ہونٹوں پر نہ جانے کون ہے جو روح کو بیتاب رکھتا ہے ستاروں کی طرح آ کر بکھر جاتا ہے پلکوں پر نہ جانے کون ہے جو رات بھر بے خواب رکھتا ہے تمہیں دیکھا تو کھل اٹھا مرے خوابوں کا آئینہ وہی نازک وہی معصوم سا چہرہ نظر آیا تمہارے ہونٹ پر بکھری نظر آئی بہار اپنی تمہارا حسن اپنی روح کا حصہ نظر آیا محبت جب سمندر بن چکی تو سوچنا کیسا بہت ممکن ہے ان لہروں میں آ جائے کنارا بھی ڈبو دے دو دلوں کو اتنا ظالم ہو نہیں سکتا یہ طوفاں جو مقدر ہے تمہارا بھی ہمارا بھی تمہاری آنکھ سے ٹپکا نہیں اب تک کوئی آنسو مرے چاروں طرف طوفان برپا ہے قیامت کا مری بیتاب امیدوں کو ٹھکرا دو کہ اپنا لو تمہارے فیصلے پر فیصلہ ہے میری قسمت کا پرانی ہو چکی ہیں پیار کے قدموں کی زنجیریں نئے رستے پہ اپنے آپ ہی سب ٹوٹ جائیں گی ہمارے سامنے ہوگی محبت کی نئی منزل ملیں گے ہم تو یہ دنیا کی رسمیں چھوٹ جائیں گی یہ کالا آسماں کچھ بھی نہیں دھوکا ہے پل بھر کا چراغاں ہی چراغاں ایک دن محفل میں ہوتا ہے تڑپ کر روح پہ گرتی ہے یوں بجلی محبت کی دھواں آنکھوں سے اٹھتا ہے اجالا دل میں ہوتا ہے مچلتا ہے جو دل میں اور ہونٹوں تک نہیں آتا محبت کی طرح وہ گیت بھی معصوم ہوتا ہے سناتی ہے تمہاری آنکھ جب کوئی حسیں نغمہ تو مجھ کو وقت بھی ٹھہرا ہوا معلوم ہوتا ہے یہ پیاسے خواب یہ ویران شامیں اور یہ تنہائی تمہاری روح سے بچھڑا ہوا آوارہ سایا ہوں ابھی تک میرے دل کا درد پہچانا نہیں تم نے جو پلکوں پر نہیں آتے وہ آنسو ساتھ لایا ہوں محبت جب کسی سنگم پہ ملتی ہے محبت سے تو ایسی لہر آتی ہے کہ دنیا بھیگ جاتی ہے سلگتی دھڑکنیں پلکوں سے چھن چھن کر برستی ہیں زباں خاموش رہتی ہے نظر وعدہ نبھاتی ہے تم آنا چاہتی ہو دل کی دھڑکن روک دیتی ہے یہ کیسی کشمکش ہے پاؤں رکتے ہیں نہ چلتے ہیں نہ اقرار تمنا ہے نہ انکار محبت ہے یہ کیسے دیپ ہیں ظالم کہ بجھتے ہیں نہ جلتے ہیں میں اپنی زندگی سے ایک لمحہ چھین لایا ہوں چرا کر زندگی سے کوئی لمحہ تم بھی لے آؤ مرے ہاتھوں میں اک ساز محبت ہے بہت دن سے بہاروں کا کوئی معصوم نغمہ تم بھی لے آؤ ہم ان نغموں سے اک بہتا ہوا دریا بنا ڈالیں بھلا کر ساری دنیا اک نئی دنیا بنا ڈالیں پرایا سا ہے جو لمحہ اسے اپنا بنا ڈالیں
English rendering
Maiñ apnī zindagī se ek lamhe kā sawālī hūñ Woh lamha jo mere naghmoñ ko chū kar jāvedāñ kar de Mere dil ko jagā de rūh ke sho'le javāñ kar de Na āñkhoñ mein koī sūrat na koī nām hoñṭoñ par Na jaane kaun hai jo rūh ko betāb rakhtā hai Sitāroñ kī tarah ā kar bikhar jātā hai palkoñ par Na jaane kaun hai jo rāt bhar be-khwāb rakhtā hai Tumheñ dekhā to khul uṭhā mere khwāboñ kā āīna Wahi nāzuk wahi ma'sūm sā chehrā nazar āyā Tumhāre hoñṭ par bikhrī nazar āī bahār apnī Tumhārā husn apnī rūh kā hissa nazar āyā Mohabbat jab samundar ban chukī to sochnā kaisā Bahut mumkin hai un lahroñ mein ā jaa'e kinārā bhī Ḍubā de do diloñ ko itnā zālim ho nahīñ saktā Yeh tūfān jo muqaddar hai tumhārā bhī hamārā bhī Tumhārī āñkh se ṭapkā nahīñ ab tak koī āñsū Mere chāroñ taraf tūfān barpā hai qayāmat kā Mirī betāb ummīdoñ ko ṭhukrā do ki apnā lo Tumhāre faisle par faisla hai merī qismat kā Purānī ho chukī hain pyār ke qadmoñ kī zañjīreñ Na'e raste pe apne āp hī sab ṭūṭ jāeñgī Hamāre sāamne hogī mohabbat kī naī manzil Mileñge ham to yeh dunyā kī rasmeñ chhūṭ jāeñgī Yeh kālā āsmāñ kuch bhī nahīñ dhokā hai pal bhar kā Charāghāñ hī charāghāñ ek din mahfil mein hotā hai Taṛap kar rūh pe girtī hai yūñ bijlī mohabbat kī Dhuāñ āñkhoñ se uṭhtā hai ujālā dil mein hotā hai Machaltā hai jo dil mein aur hoñṭoñ tak nahīñ ātā Mohabbat kī tarah woh gīt bhī ma'sūm hotā hai Sunātī hai tumhārī āñkh jab koī hasīn naghma To mujh ko waqt bhī ṭhahrā huā ma'lūm hotā hai Yeh piyāse khwāb yeh vīrān shāmeñ aur yeh tanhāī Tumhārī rūh se bichhṛā huā āvāra sāyā hūñ Abhī tak mere dil kā dard pehchānā nahīñ tum ne Jo palkoñ par nahīñ āte woh āñsū sāth lāyā hūñ Mohabbat jab kisī sangam pe miltī hai mohabbat se To aisī lahr ātī hai ki dunyā bhīg jātī hai Sulagtī dhaṛkanein palkoñ se chhan chhan kar barastī hain Zubāñ khāmosh rahtī hai nazar wa'dā nibhātī hai Tum ānā chāhtī ho dil kī dhaṛkan rok detī hai Yeh kaisī kashmakash hai pā'uñ rakhte hain na chalte hain Na iqrār-e-tamannā hai na inkār-e-mohabbat hai Yeh kaise dīp hain zālim ki bujhte hain na jalte hain Maiñ apnī zindagī se ek lamha chhīn lāyā hūñ Churā kar zindagī se koī lamha tum bhī le aao Mere hāthoñ mein ik sāz-e-mohabbat hai bahut din se Bahāroñ kā koī ma'sūm naghma tum bhī le aao Ham un naghmoñ se ik behtā huā daryā banā ḍāleñ Bhulā kar sārī dunyā ik naī dunyā banā ḍāleñ Parāyā sā hai jo lamha use apnā banā ḍāleñ