مجھے کوئی کیوں سمیٹے مری روشنی میں کیا ہے
مجھے کوئی کیوں سمیٹے مری روشنی میں کیا ہے وہ چراغ رہ گزر ہوں جو پس سحر جلا ہے کوئی ایسا حادثہ ہو کہ مجھی کو دفن کر دے جو ترس ترس کے برسے وہ غبار درد کیا ہے ترے ذہن کا دھواں بھی نہ چھپا سکا وہ منظر جسے کاٹ کر گرایا وہ شجر وہیں کھڑا ہے مجھے کیا دکھا رہے ہو مرا داغ نارسائی مری جستجو سے پوچھو کوئی راستہ بچا ہے مجھے ڈر ہے آسماں بھی کہیں زد میں آ نہ جائے تہ خاک جو لہو ہے وہ زمیں کی بد دعا ہے ترے تیشۂ جنوں سے ہیں لہو لہو چٹانیں ارے کچھ تو سوچنا تھا تہ سنگ آئنہ ہے تجھے بھولنے میں شاید مری عمر بیت جائے تجھے بھولنے سے پہلے مجھے خود کو بھولنا ہے نہ کہیں کتاب میں ہوں نہ کسی کے دل میں قیصرؔ میں خیال رائیگاں ہوں مجھے کون سوچتا ہے
English rendering
Mujhe koi kyon samete mirī raushnī mein kya hai Woh chirāgh-e-rahguzar hūñ jo pas-e-sahar jalā hai Koi aisā hādisa ho ki mujhī ko dafn kar de Jo taras taras ke barse woh ghubār-e-dard kya hai Tere zehn ka dhuān bhi na chhupā saka woh manzar Jise kāṭ kar girāyā woh shajar wahīn khaṛā hai Mujhe kya dikhā rahe ho mirā dāgh-e-nā-rasāī Mirī justjū se pūchho koi rāsta bachā hai Mujhe ḍar hai āsmān bhi kahīn zad mein ā na jaa'e Teh-e-khāk jo lahū hai woh zamīn kī bad-duā hai Tere tesha-e-junūñ se hain lahū lahū chaṭānein Are kuch to sochnā thā teh-e-sang āīna hai Tujhe bhūlne mein shāyad mirī umr bīt jaa'e Tujhe bhūlne se pehle mujhe khud ko bhūlnā hai Na kahīn kitāb mein hūñ na kisī ke dil mein Qaisarؔ Maiñ khayāl-e-rāegāñ hūñ mujhe kaun sochta hai