نظر پڑے تو غزل کے مزاج دانوں کی
نظر پڑے تو غزل کے مزاج دانوں کی ہمارے شعر امانت ہیں آسمانوں کی ہوا چلے نہ چلے لوگ انتظار میں ہیں کھلی ہوئی ہیں ابھی کھڑکیاں مکانوں کی ترے خلوص کو اب کیا کروں کنارے پر سمندروں میں ضرورت تھی بادبانوں کی ہزار زخم پرانے ہزار زخم نئے مرے بدن پہ نظر تھی کئی زمانوں کی پھر اس کے بعد قصیدہ بہار کا لکھنا اٹھا کے راکھ تو پھینک آؤ آشیانوں کی زمین پاؤں کی زنجیر بن نہیں سکتی تھکن مٹے تو وہی رت ہے پھر اڑانوں کی ہمارے گھر کے اجالے کہاں گئے قیصرؔ سسک رہی ہیں لویں اب بھی شمع دانوں کی
English rendering
Nazar paṛe to ghazal ke mizāj dānoñ kī Hamāre sher amānat hain āsmānoñ kī Havā chale na chale log intizār mein hain Khulī huī hain abhī khiṛkiyāñ makānoñ kī Tere khulūs ko ab kya karūñ kināre par Samundaroñ mein zarūrat thī bādbānoñ kī Hazār zakhm purāne hazār zakhm na'e Mere badan pe nazar thī kaī zamānoñ kī Phir us ke ba'd qasīda bahār kā likhnā Uṭhā ke rākh to phenk aao āshiyānoñ kī Zamīn pā'uñ kī zañjīr ban nahīñ saktī Thakan miṭe to wahī rut hai phir uṛānoñ kī Hamāre ghar ke ujāle kahāñ ga'e Qaisarؔ Sisak rahī hain lawein ab bhī sham'dānoñ kī